sana crore pati maa baap ki akloti beti thi woh bachpan sy hi bohat ziddi larki thi jesy jesy bari hoti gai uski zid aur batamiziyan bhi barhti gain woh jis collage me parhti thi wahan woh sub sy ameer thi us collage me har saal miss buetyfull ka award dia jata tha itifaq sy is bar ye award sana ko mila ab to is ko apni khubsurti py gurur ho gaya ky collage me is sy ziada khubsurat aur koi na tha ek dafa ye apny collage wallon ky sath samar camp par gai wahan kuch aur larky larkiyan bhi aaye hue thy jo kisi aur collage me parhty thy un me fara naam ki ek larki thi jo itni khubsurat thi ky mano koi pari ho us ki bari bari nili aankhen gulabi hont gora rang lamby lamby siah baal resham ki tarah chamkty thy garz jo bhi usko dekhta tha tarif kiy bagher na rehta tha magar us ko is ar zara bhi ghamand na tha woh hamesha sub sy hi pyar mohabt sy baat krti thi itefaq sy sana ko fara ky sath hi camp share karna para
sana fara ky husan sy jalny lagi thi uper sy ye ky sana ky collage ky log yani studant & teechar's sub ny us ki khubsurti ki tarif ki thi sana hasad ky maare us ko tarah tarah sy tang karny lagi
kabi us par mitti pank deti kabi us ka saman camp sy nikal kar chupa deti magar fara ny kisi baat ka bura na mana na kisi teechar sy complan ki woh to ye samjti rahi ky sana ye sub kuch mazaq me kar rahi hai
phir ek din ye sub log khaai dekny gay to sana ky collage ky ek larky ny jis ko sana dil hi dil pasnd karti thi fara sy kaha ky me tumhari photo khenchna chahta hun ghar ja kar mummi papa ko dikhaon ga ky main ek hoor jesi larki sy mil ky aaya hun fara ye sun ky sharmany lagi
jabky sana ko ye baat itni buri lagi ky us ny fara ko paharh sy dakh dena chaha lakin khuda ka karna ye hua ky fara ky pair me kuch chub gaya to woh jhukh gai aur sana apny hi zor sy pahar sy nichy gir gai
thora hi nichy ek darakht ki shaak nikli hui thi sana us py attak gai aur uska sir shaak ky tany sy takra ky phat gaya jis sy woh
be-hosh ho gai
jab ussy hosh aaya to who apny camp me thi us ky sir par aur right haath par patti bandhi hui thi woh darkat kanty dar tha jis ki waja sy sana ky sary baal us me phans ky toot gay thy agar sana mun ky bhal girti to yaqinan apni aankhen kho behtti magar ab us ko apny ganjy sir py sharam aa rahi thi aur khud py ghussa bhi kiyun ky usny fara ko marny ky irady sy ye harkhat ki thi usko us ki teechar ny bataya ky tumhari jaan fara ny bachai hai kiyun ky yahan koi docter to tha nahin fara ny apny bhai faraz ko waqat py phone kar ky na bulaya hota to tumhara bahna mushkil tha tab sana ko us ki bhul ka ehsas hua usny fara sy muafi mangi aur gurur sy bhi toba kar li chand dino me usky zakham bhi bhar gay aur nay baal bhi nikalna shuruh ho gay par ab who bhi ek achi larki ban chuki thi usny dubara kabhi gurur nahin kia
THE END
Saturday, March 20, 2010
Monday, March 8, 2010
Do bhai thy bara bhai imran chohta noman
dono ki umar me 2 saal ka faraq tha magar in ki aadaten 95% milti jhulti thin in ki mohobbat ka ye haal tha ky ziada tar sath sath rehty thy jab in ka talimi dor khatam hua aur job ki talash shuruh hui
to in ko kuch saal ky liy alag hona para phir in ko 1 company me job mil hi gai yahan imran ko noman ky under me kaam karna hota tha phir chand saal bad in ki shaadiyan ho gain imran ki bivi ka naam sima tha aur noman ki bivi ka naam zara
zara kafi khubsurat larki thi jabky sima normal thi jo bhi in sy milta bus zara ki tarif karta sima under hi under zara sy hasad karny lagi dono bhaiyon ki shaadi ek hi din hui thi par shaadi ky 2 saal bad noman kiyan beti pedha hui jis ka naam us ny saima rakha sub rishte dar bachi ko dekhny aate aesy me sima aur jalna shuru ho gai phir khandan ky kuch log jo in bhaiyon ki mohobbat sy jalte thy sima ky kaan bharna shuru kar diy garaz ghar ki aurton aurton me jaghre shuru ho gay aur bat yahan tak aa gai ky dono bhai jo ek dusry par jan chhirkhty thy aaj ek dusry ki shakal dekhna ghawar na karte dono ny ghar bhi alag alag le liy imran ny islamabad me transwer le liy to sheher bhi alag ho gay
19 saal bad ek din ye log itfaq sy lahor me minar-e-pakistan ky samny takra gay to bachpan ki yaaden taza ho gain dono ny ek dusry sy mafi mangi phir ek dusry ko apna apna 19 saal ka kissa sunaya imran ab us company ka manageing dreicter ban chuka tha aur noman ka 15,000,00 price bond ka nikal tha to ab woh ek show room ka malik hai noman ny bataya ky us ka ek beta bhi hai jis ka naam jibran hai imran ny kaha mere bhi 2 bete hain towins jin me sy ek ka naam sultan aur ek ka naam zishan hai aur un ko dekh dekh kar mujhe apna bachpan yaad aata hai un me bhi humari jesi mohobbat hai kher dono agle din milny ka wada kar ky apny apny ghar chaly gay un ny apni biviyon ko nahi bataya ky hamara iktlaf mitt gaya hai ab dono bhai rozana milty thy
ek din imran wady ky bawajud nahi aaya tha to noman ko pareshani hui ky kiyun nahin aaya us ny pehly to thori dair intezar kia magar
jab 30 minut guzar jany par bhi imran na aaya to us ny phone kar lia to phone par imran ny bataya ky sima ko hart ateck aaya hai aur wo log city hopital me hen noman ny call munkata [discanect] ki aur foran city hospital poncha wahan zara bhi mojod thi imran ny bataya ky docters ka kehna hai ky agar 3 din me opretion na kia gaya to sima mar jay gi ya phir qoma mebhi jasakti hai opretion ky liy
pehly 15,000,00 rupai jama karany hon gy warna opretion nahin ho sakta noman bola bhai jaan aap is waqat paison ko na dekhen bhabhi jaan ki jaan bachana ziada zaruri hai..............!
imran bola tum ny theek kaha agar mere pass 15,000,00 jesi raqam hoti to main opretion jald se jald karwa deta magar mere pass itni bari raqam nahin!
zara ny kaha noman aap kiyun nahin paison ka intazam karte ?
noman bola han main abi jibran aur saima ky account sy paisy nikal lata hun aur chala gaya to imran zara sy bola ky tum yahan kesy?
zara ny bataya bhabi jaan subah mere ghar aain thin us waqat noman office ja chuky thy
un ny mujhe bataya ky unny aap aur noman ko milte dekha hai wo mujhse keh rain thin ky main noman ko lekar wapas karachi chali jaon taky aap bhai na mil sakeyn woh wapas jany lagin to achanak chakara ky ghir gain aur main unko yahan le aai phir unky paras me se aap ka numbar dekh kar aap ko yahan bula lia
imran us ki baat sun kar bola woh tum ko bhura samjhti hai aur tum uski jaan bachana chahti ho usko mar jaany detin woh apni harkaton se baz nahin aay gi 19 saal pehly bhi woh tum logon ko har baat me dantti rehti thi jis ki wajah sy hum bhaiyo ko alag hona
parha aur tum aaj bhi use kiyun bachana chahti ho?
zara boli bhai jaan woh ham se umar aur rishty dono me bari hen unny kuch keh dia to kia hua par woh humari bhabhi hen un ki khidmat karna hamara faraz hai kuh dair badh noman bhi aan gaya noman bola main ny opretin fees jama kara di hai docter opretion ki taiyari kar rahe hen jald hi opretion ho jay ga............ bhai jaan inshah allah opretin kamiyab hoga !
opretion kamiyab hua aur sima ki jaan bach gai hosh me aaty hi sima ny noman aur imran ko sath dekha imran ny kaha tum phir hum bhaiyon ko alag karana chahti thin aaj agar tum zinda ho to zara aur noman ki badolat aur sari bat sima ko bata di sima bohat sharminda hui aur unsy ma'afi mangi to noman bola bhabhi aap humari barhi hein agar hum se koi bhul chuk ho gai ho to hamein ma'af karden is tarhah sare gile shikwy door ho gay aur sab pehly ki tarhah sath rehny lagy
THE END
Friday, February 12, 2010
Lalach Ki Saza
Shehzad aur Shehbaz jhurwan bhai thy bachpan mey dono neik aur farmabardar larky thy magar 8 saal ki umar mey Shehzad badalny laga aur 10 saal ki umar mey wo ek bohat hi ziddi aur battamiz larka ban chukka tha jab ky Shehbaz ab bhi neik aur farmabardar tha Shehbaz ka mamul tha ky wo school sy aa kar lunch karta phir sipara parhta sham ko kuch dair apny ham umar larkon ky sath khelta magrib sy pehly ghar lot aata phir apna home work karta aur dinar kha ky thori dair apny Walden ki khidmat karta aur phir sojata jab ky Shehzad din ba din bigrhta jara tha us ka dil ab parhai mey bhi nahin lagta tha wo bus 24 ghanty khelna chata tha rafta rafta wo chohty bary ka farq jesy bhul gaya tha kher jesy tesy dono jawan ho gay
Ek dafa un ky papa bohat bimar ho gay to un ny is dar sy ky main ab marny wala hun apni wasi’at [Weel] tayar kra li jis may apni dolat dono beton ky naam kar di Shehbaz kiyun ky unka farma bardar beta tha is liy ussy property ka 55% hissa dia jab ky Shehzad ko 45% jis ki waja sy Shehzad Shehbaz sy hasad karny laga jab un ky papa mar gay to Shehzad ny Shehbaz sy kaha ky papa ki property mey hamara 50-50 ka hissa hona chaiy to Shehbaz boal Bhai ye sari dolat papa ki thi un ny batwara apni marzi sy soch samajh ky kia tha mainy koi zabardasti to nahin ki thi garz dono mey jaghra ho gaya Shehzad ny kaha ye ghar mera hai tum yahan sy nikal jao to Shehbaz be-chara chup chap nikal gaya
Kuch arsy badh Shehzad ki na farmani par jab maa ny danta to usny maa ko bhi ghar sy nikal dia
Wo roti hui Shehbaz ky ghar chali gai Shehbaz ny maa ko apny ghar mey bary aram sy rakha aur khub khidmat karny laga Shehzad ny apny kuch badmash doston ki madat sy Shehbaz ko mar kar us ki property par qabza karny ka plan banaya
Ek din Shehbaz ko kisi kaam ky liy paison ki zarurat pari to usny apni safe khol kar paisy nikalny chahy ky is ky dost Ameer ka phone aa gaya usny safe open chor ky phone attain kia Ameer ny bataya ky ek dost ka xsidant ho gaya hai usko khoon ki sakt zarurat hai Shehbaz bola main aata hun aur phone rakh kar chala gaya jaldi mey safe lock karna bhul gaya itny mey Shehzad usky ghar pohnch gaya aur safe open dekh kar us ka laalach barh gaya wo chupky chupky safe sy paisy nikal ny laga ky us ky wo badmash dost bhi aa gay jin ko us ny Shehbaz ko marny kaha tha
Aur Shehzad ko Shehbaz samjh kar bazu par 1 goli mardi goli ki aawaz sun kar us ki maa aa gai to dost bagh gay Shehzad ny unhen dekh lia tha magr kuch bolny sy pehly be-hosh ho kar ghir gaya to maa ny rona dhona shuru kar dia jis ki aawaz par parosi aa gay sab us ko hospital ly gay jab Shehzad ko hosh aaya to wo hospital mey tha uski maa usky sarhany khari thi ek taraf dr. dusri taraf bhai khara tha Shehzad bola mainy wo badmash tum ko marny ky liy bhejy thy jin ki goli ka main khud shikar ho gaya
Maa ny kaha beta tum ny ye kis liy kia? Shehzad bola laalach mey aa kar … … … Shehbaz mere bhai mujhe mo’af kardo Shehbaz ny ussy mo’af karty huy kaha bhai laalach ALLAH ko pasand nahin aur tumhen laalach ki saza mili hai Dr. ny tumara left hand kaat diya hai Shehzad ny laalach sy tobah kar li aur apny badmash doston ko police ky hawaly karwa dia aur khud bhi slender kia magar kiyun ky ye is ka pehla jurum tha is liy ye 10 din ki saza kaat ky azad ho gaya
THE END
Sunday, January 31, 2010
amjad aur shahnawaz bohat ghehry dost thy ham umar hony ki wajah sy dono ham jamaat bhi thy
shuruh shuruh dono hi school men achey number laty har saal claase men top karna jesy inki aadat ho gai thi . . . . . . .
phir jab ye log 6th claase men thy tab Shahnawaz ky walid ka price bond nikal aaya ab to Shahnawaz ky jesy par lag gay thy us ky walid ny ye school chorwa kar us ko ek hi school men dakhil kar diya jahan parhhai to achi thi maghar parhny waly achy na thy
uon bory ladko ki sobat men Shahnawaz din ba din bigrta chala gaya . . . . . . . .
jab collige jany ka waqat aaya to us ky Walden ny us ko landan bejh diya
idhar Amjad parh likh ky farig hua to ghar ki zimedari utany aur apny walid ka haath batany ky liye nokri ki talash men lag gaya aakhir 2 saal ki kari bagh dorh ky badh ussy ek akbar ky office men nokri mil gai 4 saal badh jab woh office ky maniger ki hasiat sy ek meeting ky silsily men lahor gaya to badhshahi masjid ky pass us ki car band ho gai us ny socha kiyun na badhshahi masjid ko undar sy dhekha jay ye soch kar woh car sy uttar ky badhshahi masjid ki taraf barhah abi woh badhshahi masjid ky qareeb hi gaya tha ky kisi awaaz ny ussy achanak chonka diya Amjad ny jo palat kar dekha to uchal sa gaya
Amjad:Shahnawaz . . . …. Tum . . . . ye kia kar rahy ho?
Usny 1 fakir ki taraf dekhty huy kaha
Shahnawa: Amjad tum sahi thy mery dost…!
Ye keh kar Shahnawaz rony laga
Amjad us ky pass hi dehliz par beht gaya
Amjad:kia hua Shahnawaz tum roh kiyun rahy ho?
Shahnawaz: ye jab ki bat hai jab main tum sy alag ek hi school men gaya tha wahan kafi shararti bachy parhty thy main bhi shararton men lag gaya parhai ko bilkul nazar andaz kar diya mery papa har saal paisy dy dy kar mujhe pass karaty rahy isi tarah metric pass kiya phir aala talim ky liy landon chala gaya wahan bhi parhai men dil na laga aakhir college sy nikal diya gaya to wapas lot aaya 3 maheny tak to sub theek raha phir ek din mery papa ky shopping mole men achanak aag lag gai jis ki waja sy puri belding jal gai is baat ka papa ko itna sadma hua ky woh koma men chaly gay kafi paisa unky ilaj par kharch ho gaya 2 saal bad un ki daet ho gai . . . . . . . . . .
Itna bta kar Shahnawz phir hichkion sy rony laga. Amjad ny ussy usky walid ki taziyat ki phir woh khamosh hua to bola
Shahnawaz: yar tum sahi kehty thy ilam hi sachi dolat hai Ropiya paisa sub bus dikhawy ki chizen hen . yar mujhe afsos hai main ny agar bachpan men tumhari baat man li hoti to aaj woh sachi dolat mery pass bhi hoti
THE END
shuruh shuruh dono hi school men achey number laty har saal claase men top karna jesy inki aadat ho gai thi . . . . . . .
phir jab ye log 6th claase men thy tab Shahnawaz ky walid ka price bond nikal aaya ab to Shahnawaz ky jesy par lag gay thy us ky walid ny ye school chorwa kar us ko ek hi school men dakhil kar diya jahan parhhai to achi thi maghar parhny waly achy na thy
uon bory ladko ki sobat men Shahnawaz din ba din bigrta chala gaya . . . . . . . .
jab collige jany ka waqat aaya to us ky Walden ny us ko landan bejh diya
idhar Amjad parh likh ky farig hua to ghar ki zimedari utany aur apny walid ka haath batany ky liye nokri ki talash men lag gaya aakhir 2 saal ki kari bagh dorh ky badh ussy ek akbar ky office men nokri mil gai 4 saal badh jab woh office ky maniger ki hasiat sy ek meeting ky silsily men lahor gaya to badhshahi masjid ky pass us ki car band ho gai us ny socha kiyun na badhshahi masjid ko undar sy dhekha jay ye soch kar woh car sy uttar ky badhshahi masjid ki taraf barhah abi woh badhshahi masjid ky qareeb hi gaya tha ky kisi awaaz ny ussy achanak chonka diya Amjad ny jo palat kar dekha to uchal sa gaya
Amjad:Shahnawaz . . . …. Tum . . . . ye kia kar rahy ho?
Usny 1 fakir ki taraf dekhty huy kaha
Shahnawa: Amjad tum sahi thy mery dost…!
Ye keh kar Shahnawaz rony laga
Amjad us ky pass hi dehliz par beht gaya
Amjad:kia hua Shahnawaz tum roh kiyun rahy ho?
Shahnawaz: ye jab ki bat hai jab main tum sy alag ek hi school men gaya tha wahan kafi shararti bachy parhty thy main bhi shararton men lag gaya parhai ko bilkul nazar andaz kar diya mery papa har saal paisy dy dy kar mujhe pass karaty rahy isi tarah metric pass kiya phir aala talim ky liy landon chala gaya wahan bhi parhai men dil na laga aakhir college sy nikal diya gaya to wapas lot aaya 3 maheny tak to sub theek raha phir ek din mery papa ky shopping mole men achanak aag lag gai jis ki waja sy puri belding jal gai is baat ka papa ko itna sadma hua ky woh koma men chaly gay kafi paisa unky ilaj par kharch ho gaya 2 saal bad un ki daet ho gai . . . . . . . . . .
Itna bta kar Shahnawz phir hichkion sy rony laga. Amjad ny ussy usky walid ki taziyat ki phir woh khamosh hua to bola
Shahnawaz: yar tum sahi kehty thy ilam hi sachi dolat hai Ropiya paisa sub bus dikhawy ki chizen hen . yar mujhe afsos hai main ny agar bachpan men tumhari baat man li hoti to aaj woh sachi dolat mery pass bhi hoti
THE END
Subscribe to:
Posts (Atom)