Wednesday, December 23, 2015

Jhoota Takabbur

ye kahani karachi k supreme college ki hai jahan boys or girls mix
parha krte thy wahan wese to sab hi achy achy gharano k larky larkiyan
thy par ik larka jis ka nam raja tha wo bohat hi ameer tha raja k papa
sherah k caroorpati logon mein se ik thy raja unka ahlota beta tha wo
apne bete se bohat piyar krte thy aur uski har choti bari khuwaish ko
pura krte thy yehi wajah thi k raja bohat hi ziddi aur batameez ho gaya
tha wo apne aage kisi ko kuch samjhta hi nahi tha usse jo bhi cheez
chahyi hoti thi wo usse har hal mein har qimat py hasil kr k rehta tha
college mein parhai likhai mein to uska dil hi nahi lagta tha sara din
apne chand awara dosto k sath ghoomta rehta tha college ki har larki
ko cherna us ki adat ban chuki thi kuch larkian to uski solar dekh k us
py fida b thin aur jo nahi thin wo usse bohat pareshan thin wo roz apni
car se hi college ata tha aur har kuch din badh us k pas new model ki
car hoti wo jese apni dolat ki wajah se khud ko sach much ka raja hi
samjta tha college mein khule aam cigret pina chalte phirte logo se
batameeze krna bilkul kisi gunday mavali ki tarah khair bat un dino ki
hai jab un k college mein ik new larki admission leti hai us larki ka nam
hoor hota hai hoor dikhti b kisi hoor ki tarah khubsorat thi wo ik
international company Nest lay k malik ki beti thi wo dikhne mein jitni
khubsorat thi parhai mein b utni hi tez thi wo pehly london k kisi college
mein parhti thi us k parents yahan pakistan shift hue to wo b yahan a
gai thi us k. papa karachi mein apni ik new factory lagana chahte thy
jis k liye un ko kafi waqt darkaar tha to wo apni puri family samet
karachi shift ho gaye thy
raja ny jab pehli bar hoor ko dekha to jese uski nazar hoor se hat hi
nahi rahi thi ussny itni khubsorat larki aaj se pehly kabi nahi dekhi thi
hoor kisi Hollywood actress ki taraha dikhti thi bas farq itna tha k hoor
ki dressing shalwar kameez hoti thi westrun nahi magar kamal ki full
fitting wali kameez qad koi 5 feet 5 inch rang gora dood jesa safeed us
py laal laal gal jese halka sa makeup kra ho us ki aankhen bari bari thin
jin mein gulabi dory thy ball lamby silky halka sa qudarti golden shad
jese  asman ki koi pari ho.
ussi saal us college mein ik aur larke ko admission milta hai jis ka nam
ali tha ali ik middle class larka tha wo is college mein scholar ship k
zarye aya tha warna yahan ki fee bharna us k bas ki bat nahi thi ali
bohat hi zaheen aur hosiyar kisam ka larka tha wo ziyada tar time apni
kitabon k sath guzarta tha aur har sal school mein lfirst ata jabi us ko
school ki janib se ye scholar ship mili thi k wo itnw high college mein
parh sake.
khair college mein pehly din hi ali ki takrar raja se hoti hai raja us din
apni new Mercedes py aaya tha aur ali cycle py ali is college mein sab
se gareeb larka tha aaj uska pehla din tha ali apni cycle park kr k jesy
hi college mein jane lagta hai raja aur us k chand dost ali ka rasta rok
lete hain.
raja: kon ho tum?
ali: hi my name is ali & i m new student.
raja: oh ho bari English jarh raha hai lagta hai kisi angres ki ulad hai.
ali: nahi mera name.....
raja: bas bas humeh b English aati hai u idiot
ali: acha mujhe principle sir k pass jana hai.
raja: kiun humari shikayat kre ga hahahaha
ali: nahi to main kiun aap ki complain krne laga main to aap ko janta b
nahi hun.
adeel: nahi janta to ab jaan le ye raja hai sirf nam ka nahi is college ka
b raja hai ye yahan k top amiron mein se ik hai ab jaa yahan se.
ali apne raste chala jata hai aur wo principal se raja k bare mein koi
bat nahi krta kiun k wo yahan parhny aaya tha na k kisi se larne
khair wo jab principal k office se nikalta hai to uski takker itefak se
hoor se ho jati hai hoor mobile py kisi se bat kr rahi thi aur ali us waqat
principal k office ka gate band kr raha tha to dono hi ik dusre ko nahi
dekh pate aur takra jate hain par raja ye dekh leta hai aur bhagta hua
aa k ali ka collar pakar leta hai
raja: larki ko cherta hai sale abi batata hun.
ye keh k jesy hi raja ali ko marne k liye hat utata hai hoor usse rok leti
hai.
hoor : dekho mr raja hero banne ki koi zaroorat nahi hai wese b galti
meri thi is ka munh to dusri tarf tha mujhe hi dekh k chalna chahye tha i
m sorry
ali: no no its ok
hoor: hi i m hoor 1st year student (ali ki taraf hath barhate hue)
ali: hi i m ali & i m also 1st year student (hath milate hue)
hoor: aaj se pehly tum ko kabi nahi dekha?
ali: yeah aaj mera pehla din hai.
raja se hoor ka is tarah usse rokna aur kisi aur larky se baat krna
dekha nahi ja raha tha kiun k aaj tak kisi ny raja ko rokne ki himmat
nahi ki thi aur is ki ik wajah shayad ye b thi k hoor is college ki pehli
larki thi jisne raja ko no bola tha aur usse dosti to door baat krna b
pasand nahi krti thi
raja: tum is se bat mat kro ye bohat gareeb larka hai.
hoor: main kis se bat krun gi kis se nahi krun gi ye mera masla hai tum
hote kon ho mujh py roab jamane wale...
raja: main is college ka senior student hun aur tumhara lover b. (ka
hath pakrte hue)
hoor: choro mujhe.... (raja ka hath jarakte hue) lover my foot aaynda
mere sath batemizi krne ki koshish ki to....
raja: to kiya kro gi principal se complain kro gi .... ye college mere dad
ki donation py chalta hai aur wo budda principal mere dad ka chamcha
hai (hoor ki bat katte hue)
hoor: nahi principal se nahi seeda army cheaf se complain krun gi and
for you're kind information wo mere chacha hain.
raja ussi waqat wahan se chala jata hai dar us ki shakal py nazar a
raha tha ali b hoor ko hairat se dekh raha tha dar uski shakal py b
numaya tha
hoor us ko is tarah apni taraf dekh k kehti hai
hoor: kia hua ?
ali: tttt.... ttuuu... ttum army walon k ghar se ho?
hoor: ary nahi.... wo to mainy bas usse darane k liye keh diya tha
(sargoshi jesi awaz mein)
ali: main to dar hi gaya tha?
hoor: kiun?
ali: kuch nahi
itne mein class ka time ho jata hai aur sab class mein chale jate hain
class k badh dono canteen mein milte hain ali akela beta apne bag se
kuch nikal k kha raha tha k hoor a jati hai.
honor: kiya main yahan beht sakti hun?
ali: aye bethye
hoor: thanks wese tum yahan akele kiun bethe thy?
ali: kiun k aaj mera yahan pehla din hai to main yahan kisi ko janta nahi
hun..
hoor: mujhe is college mein 1 hafta ho chuka hai lakin meri yahan 2
dosten ban gayi hain par shayad aaj wo ayi nahi hain...
ali: acha itne din ho gaye aur sirf 2 dost (kuch hairat se)
hoor: 2 nahi 3
ali: abi abi to tum ny kaha 2 dosten ab bol rahi ho 3 hain
hoor: teerse tum ho na (muskurate hue)
ali: main acha han (kuch sochte hue)
hoor: kiun tum mujhse dosti nahi krna chahte kiya?
ali: nahi bat wo nahi hai main soch raha tha k tum to kafi ameer lagti ho
aur main bohat gareeb hun.
hoor: to kiya hua main ye ameeri gareebi nahi manti aur wese b
gareebon k sir py sing hote hain kia... ya ameeron k jisam pr hire jare
hote hain.
hum sab ko dene wala Allah 1 hi hai to hum kiun farq kren aur phir jo
yahan se paya hai wo yahin chor k chale jaen gy to ghamant kesa....
ali: han tum sahi kehti ho sab insan barabar hain khas kr sab
musalman (khush hote hue)
phir koi khas bat nahi hoti ye log apne apne ghar chale jate hain
agle din hoor ali ko khali period  apni donsto se milwati hai
hoor: ali in se milo ye hain meri dost sultana aur jameela sultana 1 car
showroom k malik ki beti thi aur jameela k papa ship k owner thy ali b
un se milke khush hota hai
jameela: ali aap k papa kia kam krte hain ?
ali: ji wo 1 gvt company mein assented manager hain..
sultana: you mein you are a poor man...
hoor: to kia hua agar ye gareeb hai to...
sultana: o come on yar...... ye gareeb log bare pakao type hote hain in
ki nazar hamesha hum jese dolat mandon ki dolat py rehti hai....
(munh bana k)
ali: dekhe miss sultana main aap logo k aage  gareeb zaroor  hun par
Allah ka shuker hai kisi ka mujtaj nahi hun na hi kisi ki kisi cheez py
meri koi nazar hai aap ko mujhse dosti nahi krni na kren par please
mere bare mein esy wahiyat baten na kren to behter hoga
(sultana ki baat katte hue)
sultana: oh sorry mera wo matlub nahi tha main ny tumhare bare mein
kuch nahi kaha main to un gareebo ki baat kr rahi thi jo bas moqa
dondte hain ameeron ki dolat hathiyane ka... (ghabrai hui awaz mein)
ali: to main b esy kuch ameeron ko janta hun jo gareebo ko un k pair ki
jhooti samjhte hain par mera manna hai k jese pancho unglia barabar
nahi hoti wese hi sab ameer  b 1 jese nahi hote....
(pur ehtmad lehjy main)
hoor: aur sab gareeb b 1 jese nahi hote.... ab larna band kro chalo
kuch khate hain mujhe bari zor ki bhook lagi hai...
(ali o sultana ka hath pakarte hue)
jameela: tum log jawo yar mujhe kuch notes tayyar krne hain to main
library ja rahi hun
hoor: jab dekho library library library chalo abi lunch krte hain parhai
badh mein kr lena.
canteen ja k ye teeno larkiyan order deti hain
hoor: ali tum b order do kia khao gy?
ali: main to apna lunch apne sath hi lata hun.
hoor: to kiya hua aaj bahir ka kha lo.
sultana: bill ki fiker mat kro hum pay kr dengy.
(itra k apna pruse lehrate hue)
ali ko sultana ki ye baat chubti hai par wo khamosh rehta hai hoor b ye
note kr leti hai.
hoor: tum phir shuru ho gain (sultana ko ghoorte hue)
sultana: mainy kia kiya main to sirf itna boli k aaj ka ye lunch meri taraf
se hai.
jameel: wo kis khushi mein (masti mein)
sultana: bas yr mera dil bohat bara  hai (ali ko dekhte hue)
ali: mujhe kuch kaam yaad a gaya main ja raha hun aap ki is treat ka
shukriya (zahir hai usse sultana ki baat buri lagi thi bahana bana k
wahan se nikal jata hai)
hoor ali ko awaz deti hai par wo nahi rukhta
sultana: tevar to dekho janab k 1 to gareeb ho k hum se dosti ki umeed
rakhta hai uper se nakhre alag dikhata hai (tanzia lehje mein)
hoor: shut up sari galti tumhari hai usne to kuch bola b nahi ye us ki
sharafat hai.
sultana: ooohh hello bolta b kia humare aage kuch bolne ki us ki auqat
hai kia.... (hanste hue)
aur bait away us ko kuch bolo to tum ko itna bura kiun lagta hai.?
hoor: kiun k mainy usse tum se milwaya tha aur rahi baat auqat ki to
apni dolat py itna mat urro k kisi din mun k bhal girna pare
jameel: han yar dolat hum sab k pass hai magar yaad rakho k dolat
aani jani cheez hai aaj humare pass hai to kal kisi aur k pass hogi ye
hamesha kisi ki nahi hoti ....
sultana: oohh come on girls kia ho gaya hai tum log ko ye hoor to 1 din
uss gareeb k sath kia reh li is ;iye lagta hai isse gareebiya ho gaya par
tum ko kiya ho gaya (jameela ko hairat se dekhte hue)
hoor: mujhe gareebiya ho na ho par tumhen amirya zaroor ho gaya hai
jao kisi ache se dimag k doctor se apna ilaj karwao
(sultana ko tanzia nazron se ghoorte hue)
ali wahan se hat gaya tha lakin canteen mein hi counter k peechy
khara un teeno ki baten sun raha tha wo hoor ki baat sun k muskura
deta hai phir un sab se nazar bacha k wahan se nikal jata hei phir kuch
din esy hi guzar jate hain koi khaas baat nh hoti han us college mein ali
k kuch dost ban jate hain jab k hoor sultana samjhane ki koshish krti
hai k itna ghamand achi baat nahi par sultana ki aankho pr to jese
dolat ki patti bandhi thi aakhir tang a k hoor us se baat krna chor deti
hai raja b us din hoor ki army chief wali bat se kuch esa dar gaya tha k
in se door hi rehta tha 1 din hoor aur ali kuch notes ki baaten kr rahe
the jameela b un k sath hi thi k un ko samne sultana nazar aati hai
sultana shayd roo rahi thi us ka chehra bohat utra utra lag raha tha
ali: ye sultana itni udas kiun lag rahi hai.
hoor: choro kisi se lar k behti hogi.
jameela: nahi yar mujhe to lagta hai k wo roo rahi hai.
ali: mujhe b esa hi lag raha hai.... wo kafi din se collage b nahi rahi thi
aur aaj jab ayi hai to roo rahi hai kuch to garbar hai
jameela: i think you're right mujhe lagta hai humhen chal k usse puchna
chayei k wo kiun roo rahi hai shayad hum uski kuch help kr paen.
hoor: koi zaroorat nahi hai us nakchari se baat krne ki
(khuc sakht lehje mein)
ali: nahi yar wo humari class mate hai hum usse istarah rota hua nahi
chore sakte. (hoor ko samjhate hue)
hoor: tum bhool gaye ussne tum ko kis tarah treat kia tha.
ali: usny jo b kiya so kiya agar hum b wesa hi kren gy to kia farq reh
jae ga us mein aur hum mein.?
jameela: to phir chalen? (bench se utte hue)
ali: mera khayal hai k tum akeli jao kiun k wo tumhari achi dost hai to
tumse apni baat share krne mein usse koi problem nahi hogi... mujhse
to wo shuru se hi nafrat krti hai to mere samne shayd kuch jijhik
mehsoos kre. (kuch sochte hue)
jameela: ok wait for me.
ye keh k jameela utt k sultana k pass chali jati hai.
jameela: hi
sultana: hmmmm hi (jese chonkte hue)
jameela: kiya hua tum itni upset kiun ho?
sultana: kiya batao ye ye mere guroor ki saza hai mujhe apne papa ki
dolat shohrat ka bohat ghamand tha ye ye sab ussi ka natija hai.
(wo 1 dum bilak bilak k rone lagi)
jameela: lekin hua kia kuch to batao. (us ko gale laga k chup krate hue)
sultana: mera papa ka 1 car accident ho gaya wo shadeed zakhmi hue
wo hospital mein hi thy k mere bare chacha ny pura ka pura showroom
apne nam kr liya isse pehly wo 30% partner thy mere papa ny jo dusri
zameen aur le rakhi thi mere nam py wo b un ny dhoky se apne nam kr
li ye khaber jab mere papa ko mili to wo ye sadma bardasht na kr pae
aur mar gaye un k marte hi chacha jaan ny hamra ghar b cheen liya
aur bank mein jitne account thy papa k wo b khali krwa liye ab humare
pass kuch b nahi hai (wo rote rote ye sab jameela ko bata rahi thi)
college mein us waqat ziada log nahi thy to wo log aram se baat kr
sakte thy jo 14-15 log thy wo b canteen mein thy siwae un charon k koi
b garden mein nahi tha.
sultana kuch dair yunhi roti rahi phir kuch sambhal k boli
sultana: main meri mama k sath ye shaher chor k hamesha hamesha
k liye ja rahi hun par jane se pehly 1 kaam khatam krna chahti hun.
(uski aankho mein ab sharmindagi dikh rahi thi)
jameela: kaam....? konsa kaam? (kuch chonkte hue)
sultana: main ali se muafi mangna chahti hun shayad Allah b mujhe
muaf kr de. (pur umeed lejhy mein)
jameela: to jao wo samny hi behta hai in fact usny hi mujhe tumhare
pass behja tha ye janne k liye k tum udaas kiun ho?
(jameela muskurate hue jawab deti hai)
sultana ko bohat hairat hoti hai aur sharmindagi b k ussny ali k sath
kese batamizee ki aur phir b ali ny usse nafrat nahi ki wo utt k ali ki
taraf barhne lagti hai ali ussi ko dekh raha tha.
hoor: tayyar ho jao bala a rahi hai (sultana ko apni taraf aata dekh k ali
ko warn krte hue)
isse pehly k ali kuch jawab deta sultana wahan ponch jati hai aur 1
dum se ali k pairon mein gir k rony lagti hai.
ali: ary ary kiya kr rahi ho utto (sultana ko apne pairon mein girta dekh
k wo kuch pareshan sa ho jata hai)
hoor ko b ye sab dekh k bari hairat hoti hai par wo chup rehti hai
sultana: muje muaf krdo ali mainy tum se bohat galat andaz mein baat
ki thi mujhe muaf kr do mujhe muaf krdo main tumhari mujrim hun
mujhe us ki saza mili hai. (rote hue ali k pair pakker leti hai)
ali: ary ye tum kiya bol rahi ho aur tum ro kiun rahi ho.
(usse apne pairon se utta kr apne sath bench py bithate hue)
sultana ali ko b puri baat bata deti hai
hoor: dekha sultana main tum ko sanjhati thi na k itna guroor nahi krna
chahyi guroor Allah tahla ko pasand nahi hai
sultana usse b muafi mangti hai ali jo hua usse bhool jao aur ye socho
k aage kiya krna hai?
sultana: main kal apni mama k sath lahore ja rahi hun apne uncle
(mamu) k pass agge ki parhai b wahin krun gi.
hoor: hmmm that's good idea wese tumhare uncle krte kiya hain.
sultana: wo 1 electronic item ki shop chalate hain jese t.v fride owen
etc. un ki koi aulad nahi hai bas 2 mian bivi hain.
hoor: dam cool phir to wo tumhara khoob kayal rakhen gy.
sultana: han uncle mujhe hi apni beti mante hain (muskurate hue)
hoor: hmmm great acha mera number to hai na tumhare pass kabhi b
kisi b cheez ki zaroorat ho to bila jijhak phone krna
sultana: thanks you thanks to all of you you all my best of best friends
I am so lucky because I have friends like you (khush hote hue)
phir sultana utt k principal k office chali jati hai wahan apna from jama
kr k bahir aati hai aur 1 bar phir in teeno se mil k chali jati hai
phir kuch din esy hi guzar jate hain 1 din hoor apne sab friends ko apni
birthday party k liye invite krti hai to ali ko b invitation card deti hai.
ali: ye kiya hai?
hoor: meri birthday ka card tum ko aana hai.
ali: nahi yar main nahi a sakta. (kuch sochte hue)
hoor: kiun nahi a sakte? (hairat se)
ali: wahan tumhare sab rishtedar hongy to main kese a sakta hun.
hoor: han par dost b to hongy... tum bilkul b bore nahi hogy.
ali: baat bore hony ki nahi hai... wahan sab 1 se barh k 1 ameer hongy
to.....
hoor: to tum ko koi kate ga nahi.. aur mainy tumse pehly b kaha hai ye
ameeri gareebi ki baten mujhse mat kiya kro (ali ki baat katte hue)
ali: teekh hai tum jeetin main hara batao kab aur kahan ana hai.
hoor: venue aur time card py likha hai..... aur han aate hue card sath
lana (muskurate hue)
ali: wo kiun (kuch hairat se)
hoor: kiun k bina card k kisi ko b entry nahi mile gi (ik shararat se
muskurate hue)
ali card dekhta hai party 2 din bad ki thi magar ali soch raha tha k wo
hoor k liye kia gift le k jae after all she is a rich girl aur phir wahan sab hi
ameer tareen log aane wale thy to sab hi 1 se 1 qeemti tohfe laengy to
ali ko kuch esa gift dena tha k kam se kam uski insult to na ho khair ali
ki samjhe mein kuch nahi aata to wo 1 achi se market ki tarf chal parta
hai wahan us ki nazar kafi cheezon py parhti hai jo kafi achi achi thin
magar sab hi bohat mehngi b thin jab ali wapis aane lagta hai to us ki
nazar ik pendant py jaam si jati hai wo pendent tha to plastic ka lekin
dikhne mein sea shall ka lagta tha bohat hi khoobsurat tha ali wo le leta
hai phir 2 din bad party mein
ali hoor k ghar ponch jata hai ghar kiya pura mehal tha main gate se
ander ja k 1 khoobsurat garden garden k beech wo banlga bohat hi
shandar lag raha tha ali ko kuch jijhak si mehsoos hone lagti hai ander
jane se abi wo soch hi raha tha k ander jae ya na jae k usse apne
kandy py kisi ka haath mehsoos hota hai ali ghabra k peechy dekhta
hai to jameela khari thi.
jameela: hi tum yahan kiya kr rahe ho.... (muskurate hue)
ali: wo mujhe hoor ny bulaya tha
jameela: han to ander chalo yahan kia kr rahe ho party ander hai.
ali: nahi main main wapis ja raha hun (ghabrate hue)
jameela: kiun tum ko invite nahi kia kiya?
ali: kia hai na par....
jameela: par kia (ali ki baat katte hue)
ali: yar mujhe kuch ajeeb sa lag raha hai
jameela: kuch ajeeb nahi hai... tum chalo ander.
ali jameela k sath ander chala jata hai ander se b ye bangla bohat
shandar aur bara tha 1 tarf 1 counter tha jahan 2 waiters juice wagera
serve kr rahe thy us k samne 5 moving chair rakhi thin 1 tarf sofa set
nihayat krine se rakha tha jis py 2 buzarg behty thy
shayad wo hoor k dada dadi thy.
beech mein kafi bara hall tha jahan kafi larke larkia khare thy aur party
enjoy kr rahe thy hall k ik side py sidiyan thin jo dusri manzil k tarf ja
rahi thin un py nihayat undha qisam ka carpet bicha tha in short har
cheez kafi mehngi thi aur shandar thi magar ali ko hoor kahin nazar
nahi a rahi thi shayad wo tayyar ho rahi thi ander aane k bad jameela b
kuch larkiyon ki tarf chali gai aur un se milne mein lag gai ali ko kafi
alag sa feel ho raha tha wo jese akela khara tha party mein kuch
waiters b thy jo juice wagira serve kr rahe thy ali bore hone lagta k
achanak har tarf andhera ho jata hai aur agle hi pal 1 spot light ki light
sidion py parhti hai weahan hoor khari thi wo lite pink color ka shalwar
kameez pehny hue thi jis k sath net ka matching dupata tha us ka
chehra kisi gulab ki tarah khila hua tha us py halka sa makeup us k
baal b aaj khule hue thy lambe kale gungrale bal us k husan ko char
chaand laga rahe thy wo jese aaj sach much ki hoor lag rahi thi us k
sath 1 aur larki b thi jiss ny red color ki dress pehni thi wo b bohat achi
lag rahi thi aur us ka face hoor se kafi milta jhulta tha shayd wo behne
thin wo dono muskurate hue neechy aati hain jab hall mein aati hain to
light on ho jati hai hoor b apni doston se milne lagti hai ali sochta hai k
ab usse loat jana chahye abi wo loatne k liye murta hi hai k usse hoor
ki awaz sunai deti hai
ali mur k dekhta hai to hoor ussi ki tarf a rahi thi hoor k sath wo dusri
larki b thi
hoor: kahan chale janab cake cut tak to ruk jao. (ali k pass a k)
ali: wo mujhe kuch kaam tha ghar py to ja raha hun happy birthday
tumhara gift (gift wala packet hoor ki tarf barhate hue)
hoor:ary isse apne pass rakho cake cutting py hi dena jab sab dengy
aur i am sorry mujhe pata hai tum yahan bore ho rahe thy issi liye ja
rahe thy na.. (sharnibdagi se)
ali: han..... main yahan kisi ko janta b nahi hun to acha nahi lag raha.
hoor: sorry han main abi tum ko apne cousins se introduce krwati hun
pehly tum isse milo ye meri jaan hai noor meri choti behan
noor: hi (haath barhate hue)
ali: hi nice to meet you: (haath milate hue)
hoor: sadiya, sameena, amber, shan, raheel, raheela, idher aao in se
milo ye hain mere college friend mr ali (introduction krwate hue)
sab a k bari bari ali se milte hain aur phir idher udher ki baton ka silsila
shuru ho jata hai k 1 awaz in sab ko chonka deti hai
awaz: hum se b introduction krwao hum b hain party mein.
ye log awaz ki tarf dekhte hain awaz raja ki thi.
hoor: tum... tum yahan kia kr rahe ho kis ny bulaya tumko yahan.?
(gusse se raja ko ghoorte hue)
raja: relax baby relax main yahan apne dad k sath aya hun aur un ko
tumhare dad ny invite kiya hai... chaho to punch lo.
hoor: apne dad ki tarf chali jati hai
raja: oh ho to ye b yahan hain aye mr jao ja k mere liye juice lao (ali ko
ghoorte hue)
noor: ye koi waiter nahi baji k dost hain
raja: ohhh acha acha bahee muaf krna main samja k is ko hoor ny
waiter ki job k liye appoint kiya hai. (tanzia andaz mein)
noor: kiya matlub.....? aap kehna kiya chahte hain? (hairat zada
nazron se raja ki tarf dekhte hue)
raja: hoor ny tumhen nahi bataya ye 1 gareeb larka hai humare college
mein scholar ship py parta hai.
ali khamosh khara sab sun raha tha
noor: kiya ye sach bol rahe hain mr ali? (sawaliya nazron se ali ko
dekh k)
ali bas han mein sir hilata hai
raja: aby bol na gore ki tarah sir kia hila raha hai? (ali k sir py ik hath
marte hue)
ali kuch nahi bolta par noor bolti hai
noor: dekhye mr aap ka jo b naam ho aap humare guest hain is liye
hum aap ki izat krte hain magar is ka ye matlub nahi k aap humare
samne humare ghar aaye kisi dusre guest ki insult kren (noor k face
py thora gussa tha)
ali: jane do ye is ki galti nahi hai mujhe hi yahan nahi ana chahye tha.
(apne aap ko sambhalte hue)
ye keh k ali jane lagta hai k hoor wahan a jati hai us k sath us k dad b
thy.
hoor k dad: kisi ko kahin jane ki zaroorat nahi hai hum ny sab kuch sun
liya hai.
raja: uncle ye.....
hoor k dad: beta aap k papa us tarf hain aap un k pass jaen wo aap ko
bula rahe hain (raja ki bat katte hue)
raja: ok (mun banate hue)
hoor k dad: beta kia naam hai aap ka? (ali ko mukhatib krte hue)
ali: ji ali.. ali hussain
hoor k dad: hmm ali hum us larke ki tarf se muafi chahte hain tum
hunari beti k guest ho.
ali: ary nahi nahi uncle aap kiun muafi mang rahe hain aap mere walid
ki umer k hain muafi mang k please mujhe sharminda na kiye.
hoor k dad: kiya naam hai tumhare papa ka?
ali: waqar hussain
hoor k dad: ok enjoy the party
hoor: han to kesa laga mera ghar tumko
ali: kafi shandar hai
jameela: abi tumny dekha hi kahan hai yahin hall mein to ho
(un k pass ate hue)
hoor: jameela ki bachi isse akela chor k kahan gayib ho gayin thin pata
hai ye bore ho k jane wala tha. (jameela ka kaan pakerte hue)
jameela: aahhh choro mera hair style aahhhh
hoor: kiya kehte ho ali chor diya jae? (jameela ka kaan kenchte hue)
ali: han chor do (hanste hue)
hoor jameela ka kaan chor deti hai
jameela: puch lo main hi isse ander lai thi..  warna ye janab to bahir se
hi ja rahe thy. (kaan sehlate hue)
noor: kiun bahee humara ghar pasand nahi aaya kiya?
(ali ki tarf dekhte hue)
hoor: main janti hun ye kiun ja raha tha (ali ko dekhte hue)
noor: kiun baji?
hoor: kiun k isse hum jese ameeroj se sharm  aati hai.
noor: wo kiun ali bhai? (ali ko sawaliya nazron se dekhte hue)
ali: well wajah abi aap sab ny dekhi raja ny kese mujhse baat ki main
nahi chahta k koi meri insult kre.
hoor: to mainy ya meri kisi dost ny kabi tumse aese baat ki? kuch log
hote hain sir phire to iska ye matlub nahi k sab hi ameer 1 jese hon.
(thora naraz hote hue)
isse pehle k ali kuch jawab deta hoor ko 1 aurat awaz deti hai.
aurat: hoor beta kahan ho... come on cake cut kro bahee...
hoor: yeah mom abi ayi...
hoor: meri baat py gor krna (ali ko dekhte hue)
hoor cake cut krti hai sab log taliyan o sityan bajate hain cake kafi bara tha hoor cake ka 1 peace uta k pehle apne dada dadi ko phir apne mom dad ko aur sab se aakhir mein noor ko khilati hai. ye log b hoor ko thora thora cake khilate hain phir gift dene ka door shuru hota hai sab hi bare bare packet hoor ko dete hain jin mein shayd jewelry ho ya suit khair hoor k dad usse 1 lifafa dete hain.
hoor: ye kiya hai dad?
hoor k dad: ye tumhare new farmhouse k papers hain. (muskurate hain)
hoor khushi se un k gale lag jati hai.
dadaji: b hoor ko 1 new B.M.W ki key dete hain.
ali hoor ko gift deta hai to hoor puchti hai.
hoor: kiya hai is mein?
ali: pendent....
hoor: thanks...
raja: pendent ye b koi gift hua (mun banate hue)
hoor: to tum ko kiya hua tum kia diamond lae ho?
raja: well tum ny kese guess kiya.... sirf diamond nahi diamond ring laya hun.
hoor: oh thanks
phir khana shuru hota hai water sab guest ko khana serve krte hain ali khane k bad ja raha tha k usse hoor k dad rok lete hain.
uncle: kahan chale beta ?
ali: ji uncle ab mein ghar ja raha hun.
uncle: beta zara mere sath aao tumse kuch baat krni hai.
ali: ji ji bolye...
uncle: beta tum ny apne papa ka kiya nam bataya tha?
ali: ji waqar hussain
uncle: han waqar hussain... beta ye wohi waqar hussain hai na Lahore k school master babar hussain ka beta.
ali: ji bilkul.. par aap ko kese pata?
uncle: beta tumhare dada janab babar hussain sahib mere ustad reh chuke hain aur main aur tumhare papa waqar hussain bachpan k dost hain.... kese hain ustad e mohtram aur mera dost? (muskurate hue)
ali: ji Allah ka shuker sab teekh hain par dada jan 2 saal pehly hi Allah ko piyare ho gaye (dada ka ziker krte hue ali ki aankhen num ho gain)
uncle: Allah unhen jannat naseeb kre bohat ache insaan thy (wo b thore aforda lehje mein bole)
phir unhone ali ko apne
ghar walon yani hoor k dada dadi aur muma se milwaya hoor aur noor se to wo pehly hi mil chuka tha phir ali apne ghar k liye nikal gaya.

agle din college mein hoor ali se milti hai.
hoor: dad tumhare ghar ka address puch rahe thy wo tumhare papa se milna chahte hain
ali: par kiun?
hoor: ary wo apne bachpan k dost se milna chahte hain bas.
ali: ok.... abi to papa office k kaam se out of station gaye hue hain saturday tak a jaen gy.
hoor: ok tum address to do..
ali usse address likh k de deta hai
hoor: ok apne ghar py mere dad k aane ka nahi batana wo apne dost ko surprise dena chahte hain.
ali: ok
hoor: wese tumhare ghar mein kon kon hai?
ali: humare ghar mein mere mummy papa aur hum 5 behan bhai hain 2 behane mujhse bari hain salma baji aur sufia baji un dono ki shadi ho gayi hai aur wo apne apne sasural mein khush hain 1 mujhse choti hai zainab wo abi parh rahi hai phir mera bhai wali wo b abi parh raha hai par wo lahore mein rehta hai chachu k pass
hoor: ok to dad k sath main b aaon tumhare ghar?
ali: sure why not esa krte hain saturday ko papa wapis a rahe hain tum uncle aur baqi sab ghar walon ko le kr sunday ko humare ghar a jao lunch time py kesa?
hoor: that's cool idea
phir kuch khaas nahi hota sunday ko ali apne papa ko ghar py rehne ko kehta hai aur mummy ko biryani aur kabab banane ko kehta hai
ali ki mummy: kiya hua aaj se pehly to tumny khane k bare mein koi farmaish nahi ki aaj achanak do do dish ki farmaish bat kiya hai?
ali: wo mummy aaj mera 1 dost a raha hai lunch py. (kuch ghabrate hue)
zainab: bhaiya aap ka chahra to kuch aur keh raha hai.... sach sach bolo a raha hai ya a rahi hai.? (ali ko cherte hue)
ali: han a rahi hai
mummy: ary wah mera beta itna bara ho gaya k larki b pasand kr li (muskurate hue ali k sir py hath mar k)
ali: oh hello mummy esi koi bat nahi hai wo aur main sirf achy dost hain asal mein us k..... (ali bolte bolte ruk jata hai)
zainab: us k kiya bhaiya? (ali ki tarf sawalia nazro se dekhte hue)
ali: kuch nahi aur tum usse koi ulti seedhi baat na kr dena wo kafi ameer larki hai (zainab ko warning dete hue)
mummy: ameer hai to kiya hua tujhe pasand hai to baat pakki.
ali: oh come on mummy esi koi bat nahi hai aur wo kisi aur kaam se a rahi hai.
zainab: aur wo kaam.....
isse pehle k wo apni baat puri krti door bell bajti hai
ali: lagta hai wo log a gaye.... papa kahan hain? (mummy ko dekhte hue)
mummy: apne kamre mein hongy.... par dost to tumhari hai na papa ka kia kaam? (herat se)
ali kuch nahi bolta aur ja k door kholta hai samne hoor apni family k sath khari thi
hoor: kia kr rahe thy sab ready hai na? (sargoshi ki andaz mein)
ali: han han sab ready hai tum log ander to aao aayn uncle anty sab ko drawing room mein bithata k ali ander chala jata hai ali ka ghar koi. bangla nahi tha magar har cheez apni jagah nihayat kareeny se rakhi thi lakri ka sofa set tha jis k darmian shishe ki meiz rakhi thi j py flowerpot saja hua tha site tables py b khoobsurat flowerpot saje hue thy carpet koi umda wala nahi magar khoobsurat bicha tha
ali: papa chalen wo log a gaye.
papa: ary wo tumhare dost hain bhaee mujhe kiun chalne ko bol rahe ho tum chalo main thori der mein a k mil lun ga.
ali: nahi papa wo log aap se milne aay hain chalen na.
mummy: yani zainab sahi keh rahi thi? (muskurate hue)
ali: ufff mummy aap us ki baton par dihan na diya kren.... aur papa chalen b..
papa: ok ok chalo...
ali uske papa ko le k drawing room mein ata hai sath uski mummy aur zainab b hoti hain
ali: dekhen papa kon aya hai?
ali k papa jo achank apne bachpan k dost noman ali khan ko dekhte hain jo ab sat noman ali khan ban chuka tha to bohat khush hote hain
dono dost kafi arse bad mil rahe thy is liye khub garamjoshi se milte hain waqar noman k walid aur waleda ko to janta hi tha baqi ka tar'roof b ho jata hai noman waqar k ghar mein kisi ko nahi janta tha siwa ali k to unka b tar'roof ho jata hai yun dono dost kafi der talk mil k apne bachpan ki baten yaad krte rehte hain phir khana kha k jate hue noman waqar aur uski family ko apne ghar aane ka keh k chala jata hai

ab 10 din bad final exam thy sab parhai mein lag jate hain kafi mehnat k bad jab exam khatam hote hain to sab hi ko result ka intezar satane lagta hai.
hoor: hi ali kese rahe tumhare papers?
ali: well papers to achy rahy ab dekho result kesa ata hai.
jameela: mera since ka paper bohat kharab gaya hai guys I hope main fail na ho jao..
hoor: kiun tum to since mein master ho.
jameela: han par jis din since ka paper tha us din mujhe fever tha to pata nahi kiya likha kiya nahi (sad hote hue)
ali: fever tha to professor ko bata deti k tum aaj exam nahi de pao gi.
jameela: bataya tha unhon ny bola koi chutti nahi mile gi paper dena hai to do nahi to since k sare marks kate jaengy (emotional hote hue)
hoor: chalo koi bat nahi wese b koi 1 paper ki wajah se pass ya fail nahi hota
achanak announcement bell bajti hai sab college k compound mein jamah ho jate hain to principal sir announcement krte hain k is college ki taraf se sabi students k liye summer camp py jane ka program bana hai jo 5 din aur 6 raaton ka hoga to jo jo jana chahe wo form fill kr de camping py 3 din bad jana hai college ki taraf se summer camp ka sun k kafi students khush hote hain ali b is camp mein jata hai hoor apne sath noor ko le aati hai hoor k pichy pichy raja b a jata hai jab k pehly usny jane se saaf mana kr diya tha khair jahan camping ka program hota hai wo jagah karachi se taqreeban 500 km door thi jab k raste mein in ki college bus kharab ho jane ki wajah se inhen rukna parhta hai abi b wo jangle 300km door tha par kia kiya ja sakta tha raat to jese tese guzarni thi to wahin kuch fasle py camp laga diye jate hain students yahan b moj masti krne lagte hain k jangle to jangle hai kia farq parhta hai par unhen nahi maalum tha k is jangle mein jangli janwer b hain adhi raat k waqt kuch door se jangli janweron ki awazen aati hain jo aeista aeista qareeb a
rahi thin sab hi log dar jate hain zahir hai ye ik college camping thi kisi k pass koi hathyar to thy nahi jo jangli janwaron se muqabla kr pate principal sir k kehne py students camp k charon tarf aag jala dete hain aur principal sir ka khas order hota hai k koi b student kisi b surat is aag k circle se bahir nahi jae ga sab to man lete hain par raja kab kisi ki sunta tha wo apne papa ko call krne ka soch k fire circle se bahir chala jata hai bina kisi ko batae abi wo chand qadam hi door gaya hoga k achanak uska pair phisal jata hai aur wo cheekta hua ik gehri khai mein ja phansta hai idher us ki cheenk sun k baqi k students gabra jate hain phir usse pure camp mein talash kiya jata hai magar wo camp mein hota to milta wo to camp se thori door 1 khai mein latak raha tha sab hi processors ik group ki surat mein raja ko dundne nikal jate hain aur jate jate baqi sab hi students ko camp mein hi rehne ko bol jate hain par ali aur hoor aur raja k kuch dost jo kafi hatte katte thy un k sath jate hain dunte dunte ye log uss khai k qareeb ponch jate hain jis mein raja atka hua tha torch light ki madad se kuch nazar a raha tha warna jangle mein to andhera goop tha jab torch ki light khai ki tarf parhti hai to raja ko b pata chal jata hai k uper koi hai aur wo zor zor se cheekne lagta hai jab professor hameed us tarf torch ghumate hain to unhen wahan kuch nahi dikhta kiun k wo light uper uper mar rahe thy nichy nahi magar awaz to ussi tarf se a rahi thi ali apni torch se light us tarf zameen py marta hai to usse khai mein kuch hilta mehsoos hota hai
ali: sir wo dekhen wahan nichy jhariuon mein kuch hai. (jhariyon ki tarf ishara krte hue)
sir: koi jangli sanp hoga.
ali: nahi sir dekhen koi bari cheez hai.
rameez: (raja ka dost) koi jangli janwer hoga.
ali: jo b ho dekhte hain
raja: aby main jangli janwer nahi tera boss hun raja. (gusse se chillate hue)
professor hameed: ye to raja ki awaz hai. (thora qareeb jate hue)
raja: sir meri awaz nahi main hi hun raja
ali: ghabrao mat raja hum abi tum ko uper kenchte hain. (idher udher dekhte hue)
principal sir: kia dhund rahe ho ali (ali ki nazron ka peecha krte hue)
ali: sir koi rasi ya mazboot jhari mil jae to raja ko uper kench ja sakta hai (apni tarkeeb batate hue)
principal sir: good idea but is jangle mein rassi kahan mile gi
hameed sir: sir bus mein hogi main aur rameez abi ja k le k aate hain.... chalo rameez.
rameez: han chalen sir.
wo dono bus ki taraf chale jate hain bus ziada. door nahi hoti to 15 min mein rassi le k a jate hain.
ali ka bachpan kiun k mari jese pahari ilaqy mein guzra tha to wo rassi aate hi rassi ka 1 kona 1 mazboot darakht se banta hai aur dusra apni kamer mein. band k khai mein uter jata hai aur thori si mehnat k badh raja ko sath le k rassi ki madad se uper a jata hai us din raja ko ehsas hota hai k wo kitna galat tha
ali: tum teekh to ho?
raja: han main teekh hun thanks tum na aate to pata nahi mera kiya hota.
ali: kuch nahi hota.... main na ata to koi aur a jata
phir ye log camp mein wapis chale ate hain wahan mojud sab hi log jahan raja ko sahi salamat dekh k khush hote hain wahin ali aur raja ko sath dekh k heran hote hain camp apni manzil py jata hai aur wapis b a jata hai aur ab raja pehle jesa nahi rehta wo ab kisi baat py takabbur nahi krta tha ab wo ali ka acha dost ban gaya aur apne se kam pesaiy walon se nafrat nahi krta tha

......The End......

Tuesday, November 10, 2015

Piyara Rishta

sadiya 17 saal ki ik bohat zaheen o khubsoort larki thi wo in dino enter
kr k farig hui thi aur ab intezar tha k kab university mein admission
shuru hon to wo aage ki parhai kre wo doctor banna chahti thi wo
parhai k sath sath apni ammi rukhsana ka ghar k kamon mein b hath
batati thi uska ik bhai b tha rizwan jo abi 10 saal ka tha magar us ka
dimag kisi 4 ya 5 saal k bache ki tarah tha wo din bhar apne khilono se
khelta rehta yahan wahan ghumta aur nai nai shararten krta rehta tha
wo sadiya ka bohat laadla tha itna k khana b khata to sadiya k haath
se warna nahi khata roz sote waqt sadiya use koi kahani sunati us k
bina rizawan ko neend nahi aati thi phir subah sadiya hi usse jagati
nashta krwati...
rukhsana in dono behan bhai ka piyar dekh k khush to bohat hoti magar
wo akser rizwan ko samjhati k beta ab tu bara ho gaya hai khud khana
khaya kar magar sadiya kehti maa khane do na usse mere hath se
khata hai to mere hath ghees thori jaen gy to rukhsana chup ho jati ik
din jab rizwan apne kamre mein behta video game khel raha tha to
rukhsana ny sadiya ko awaz de k hall mein bulaya aur usse boli k

rukhsana: beta tu ab rizwan se thora door raha kar.
sadiya: kiun maa ( thora pareshan hote hue)
rukhsana: beta tu ab jawan ho rahi hai kal ko teri shaadi ho jae gi aur
tu sasural chali jae gi to is ka kia hoga isse kon sambhale ga.
sadiya: maa tu b naa abi to mujhe bohat sara parhna hai doctor banna
hai abi tu kiun tension leti hai
rukhsana: han par kabi na kabi to shaadi kre gi na tu
sadiya: maa kiya tu mujhse tang a gai hai jo mujhe is ghar se bagana
chahti hai? (mun banate hue)
rukhsana: ary nahi beti esi bat nahi hai par larki to parai amaanat hoti
hai usse ik na ik din apne ghar jana hi hota hai (shafqat se sadiya k sir
py hath pherte hue)
sadiya: main kahin nahi jane wali ye mera ghar hai aur main hamesha
yahin rahun gi tumhare aur rizwan k sath.
sadiya ki ye bat sun k jahan rukhsana chup ho jati hai waheen kisi k
rone ki awaz aane lagti hai ab jo ye dono maa beti morh k dekhhti hain
to peechy rizwan khara ro raha tha
sadiya: ary ary kiya hua tu ro kiun raha hai?

rizwan: baji..... baji tum..... baji (rizwan ki hichkiyan bandi hui thin aur wo
theek se bol nahi pa raha tha)
sadiya: main kiya....mainye kia kiya bata to.... acha chal main kaan
pakrti hun. (rizwan k kaan pakarte hue)
rukhsana ko ye dekh k hansi a jati hai par wo khud py kaboo rakhti hai
rizwan: baji mazaq nahi kro tum ja rahi ho... mujhe chor k mat jao baji...
main wada krta hun k tumhen kabi tang nahi krun ga... tumhare sath
kabi koi sharart nahin krun ga.... aur aur apne sab khilone tum ko de
dunga par mujhe chor k mat jao baji (rote rote rizwan tezi se bolta hai)
sadiya: ary budhu main kahin nahi ja rahi kisne kaha main ja rahi hun
tum ko chor k hmm? (piyar se bhai k aanso pochte hue)
rizwan: abi abi maa boli k kal tumhari shaadi ho jae gi to tum hum sab
ko chor k hamesha hamesha k liye chali jao gi... (aanso ponchte hue)
sadiya: to tu ny humari beaten sun lin... to mera jawab b to suna hoga
na k main kahin nahi jane wali..... tujhe aur maa ko chor kar.
rizwan: promise.... (hath barhate hue)
sadiya: pakka promise (rizwan k hath py hath rakhte hue)
sadiya): ab tu ander jaa k game khel main hum dono k liye garma
garam coffee bana k lati hun.
rizwan aansu ponchta hua apne kamre mein chala jata hai aur sadiya
kitchen mein ja k us k aur apne liye coffee banane lagti hai k rukhsana
b us k peechy kitchan mein a jati hai.
rukhsana: beta ye kia kiya tum ny kiun us masoom ko jhooti umeed
dilai?
sadiya: maa mainy usse koi jhoot nahi bola mainy jo wada kiya hai
usse nibhaon gi b...
rukhsana agge kuch kehna chahti thi k sadiya usse rok deti hai.
sadiya: maa hum is bare mein phir kabi bat kren gy abi hato mujhe
coffee le k jane do mera bhai mera intezaar kr raha hai.
wo din b guzar jata hai raat ko hazab e mamool rizwan to kahani sun k
so jata hai par sadiya ki aankhon se neend koson door thi wo soch rahi
thi k usny jo wada rizwan se kiya hai kiya wo usse nibha paye gi ya
jesa k maa ny kaha k har larki ko ik na ik din apne sasural jana parhta
hai to usse b ye ghar aur rizwan ko chor k jana parhe ga...
nahi nahi main apne bhai ko chor k kahin nahi jaon gi.. wo jese apne
aap se keht hai wo ik nazar sote hue rizwan py dalti hai jis ka masoom
sa chehra usse yehi keh raha tha k baji mujhe chor k mat jana baji
main tumhare bina kese reh paon ga kon mujhe khana khilae ga kon
mere sath kehle ga kon mujhe choti choti galtion py maa ki dant se
bachae ga kon raat ko mujhe kahani suna k sulae ga wo ye sab
sochte sochte na jane kab neend ki wadiyon mein kho jati hai

subah sadiya ki aankh tab lhulti hai jab koi uska shana pakar k hilata
hai sadiya aankh khol k dekhti hai to wo aur koi nahi bal k rizwan hota
hai
sadiya: kiya hua rizwan sony de na....
rizwan: baji kia bat hai aap ki tabiyat kharab hai kiya?
sadiya: nahi to main to bilkul teekh hun par tu esy kiun puch raha hai?
rizwan: kiun k ghari dekho baji 12 bajne wale hain tum to kabi itni dair
tak nahi soti thin aaj kiya hua baji? (ghari ki taraf ishara krte hue)
sadiya jab ghari dekhti hai to ghabra k utt jati hai kiun k aaj usse apne
liye university ka form lene jana tha aur ab 11:25 ho rahe thy aur form
wale ka office 12:00 bje band ho jata tha sadiya jaldi se utt k washroom
jati hy aur tayyar ho k bahar aati hai ab ghari mein 11:40 ho raha tha
wo jaldi jaldi rizwan k liye brad batter banati hai aur kehti hai rizwan
sorry yr mujhe pata hai tujhe ye nashta nahi pasand par aaj mujhe thori
jaldi jana hai wese hi bohat dair ho gai hai.
rizwan: koi bat nahi baji par aap ja kahan rahi ho?
sadiya: yahin pass mein office hai university ka form lene ja rahi hun
ye kehte hue sadiya rizwan k liye 3 slice bana deti hai jab wo jane lagti
hai to rizwan usse un mein se 1 slice dete hue kehta hai
rizwan: lo baji tum b nashta kr lo.
sadiya: nahi mujhe dair ho rahi hai main a kr krlungi
par rizwan usse 1 slice pakrate hue kehta hai jate jate kha lena baji.
sadiya jab ghar se nikalti hai to 11:50 ho chuke thy office kiun k ghar
k peechy hi tha is liye wahan ponhachna bilkul mushkil nahi tha par
sadiya ko yehi fikar thi k agar line lambi hui to usse form nahi mile ga
aur agar aaj form na mila to pura saal barbad ho jae ga kiun k aaj form
lene k aakhri tarikh thi. magar sadiya ki khushqismati thi k office mein
bilkul b line nahi thi aur sadiya ko form asani se mil jata hai.
form le k jab wo ghar pochti hai to rizwan ghar k bahir apne dosto k
sath cricket khelta milta hai
sadiya ghar chali jati hai wo kafi khush thi k usse form mil gaya ab bas
form fill kr k jamah krwana tha sadiya apne liye nashta banane lagti hai
kiun k usse kafi zoron ki bhook lagi thi nashta bana k jab farig hoti hai
to rizwan b a jata hai dono behan bhai mil k nashta krne lagte hain k
tabi phone bajhta hai aur rukhsana phone utta leti hai

rukhsana: hello kon...
samne: main hun aapa... shabana.
rukhsana: ary kesi hai tu...
shabana: main teekh hun aapa aap batain aap kesi hain?
rukhsana: main to bilkul teekh hun
shabana: acha aur sadiya aur rizwan kese hain
rukhsana: wo b teekh hain.
shabana: acha aapa mainy ye batane k liye phone kiya tha k main aur
saleem kuch dino k liye aap k ghar a rahe hain
rukhsana: ye to bari achi bat hai (khush hote hue)
shabana: acha aapa ab main rakhti hun hum aaj raat ki ghari se
rawana hongy kal subah wahan pochen gy.. Allah Hafiz.
rukhsana: Allah Hafiz

shabana rukhsana ki choti behan thi wo bewa aurat thi us k 2 bete thy
bara nadeem jo k shadi shuda tha wo alag rehta tha aur chota saleem
jo ab parhai puri kr k job ki talash mein tha.
saleem aur sadiya bachpan k dost thy magar wo dono hi kafi choty
choty thy jab shabana: Karachi se apne sasurali gaun dadoo chali gai
thi aur us din k badh wo aaj wapis karachi aane wali thi...

sadiya: kiska phone tha maa?
rukhsana: shabana khala ka wo yahan a rahi hain kal...
ye sun k sadiya to khush ho jati hai magar rizwan nahi kiun k rizwan
sirf 2 saal ka tha jab shabana gai thi to usny kabi shabana ko dekha hi
nahi tha siwae photo albums k ya purani video k
is liye wo shabana k aane se na khush tha na pareshan dusre din
subah subah door bell bajti hai to sadiya ja k darwaza kholti hai darwza
kholte hi samne apni khala shabana ko dekh k sadiya khushi se us k
gale lag jati hai itne mein rukhsana b wahan a jati hai
rukhsana: arry sadiya.... khala ko ander to aane do phir mil lena.
(muakurate hue)
sadiya: sorry sorry main to bhool hi gai thi aye na khala ander aye.
shabana ander aati hai us k peechy peechy saleem b ander a jata hai
wo log sab se milte hain rizwan in logon se pehli bar mil raha tha is liye
abi ziada free nahi hua tha jab k sadiya kisi choti bachi ki tarah apni
khala k gale mein hath dale behti thi.

rukhsana: aur suna shabo kese aana hua (shabo sab shabana ko
piyar se kehte thy)
shabo: kia batao aapa saleem ny job k liye jahan apply kiya tha sab ny
inkar kr diya ab karachi aaye hain k yahanhin koi job mil jae ....
sadiya: wese khala nadeem bhai kese hain aur suna hai un ki shadi ho
gai.....
shabo: han beta wo apni. biwi k sath lahore chala gaya hai wahan wo
car designer ban gaya hai.
rukhsans: acha chalo achi bat hai par ik shikayat hai tuny us ki shadi
py hamen nahi bulaya (naraz hote hue)
shabo: arry aapa sab kuch itni jaldi hua k kisi ko kuch batane ka waqat
hi nahi mila
rukhsana: acha chalo tum log hath muu dhoo lo main tum logo k. liye
nastha lagati hun.
shabo aur saleem hath muu dhony chale jate hain aur sadiya aur
rukhsana nashta laga deti hain nashte ki tabble py jab sab behte hain
to shabo ko ye dekh k hairat hoti hai k sadiya rizwan ko apne hath se
nashta kra rahi hai wo 1 niwala rizwan k muu mein dalti aur 1 khud
khati.
shabo: beta rizwan tumhare hath mein dard hai kiya?
rizwan: nahj to khala ...
shabo: phir tum sadiya k hath se kiun kha rahe ho khud khao
rizwan kabi apni khala shabo to kabi behan sadiya ko dekhne lagta hai
sadiya: arry khala ye hum behan bhai ki adat hai hum isi tarah khana
khate hain.
ye sun k shabo chup ho jati hai aur khana kha k wo log sone k liye
kamre mein chale jate hain sadiya ny dono k liye do kamre pehle hi saf
kar diye thy wo log so jate hain raat bhar safer kr k dono ki kamar aari
ho gai thi ab jo wo bistar py lette hain to lette hi so jate hain phir
seedha sham ko hi utte hain.

sham ko saleem sadiya aur rizwan k pass ata hai
saleem: kiya ho raha hai.
rizwan: kuch nahi main baji ko apni aur apne dosto ki pics dikha raha
hun.
saleem: acha mujhe b dikhao.
aur rizwan use pics dikhane lagta hai. jo k ik digital camera mein hoti
hain.
saleem bhaee ye to koi picnic point lagta hai.
rizwan: han han ye aladin park hai hum sab dost pichly hafte yahan
gaye thy bara maza aya tha haina baji.
saleem: agar tum sab dosto k sath gaye thy to baji ko kese pata hoga
bhai.
rizwan: kese nahi pata hoga baji b to hamare sath thin kiun k yehi to
hain meri sabse achi dost.
sadiya: han hum kabhi ik dusre k bina kahin ghumne phirne nahi jate
kiun k we are best friends kiun rizwan?
rizwan: han baji (muskurate hue)
saleem to bhai mujhe b apni party mein shamil kr lo aap log.
sadiya: is ka faisla to rizwan kre ga hi is chief of there party
(muskurate hue)
saleem: ok rizwan boss can i join your party please
rizwan: ok
aur teeno hansne lagte hain
saleem: to ab maine ye party join kr li hai to mujhe b kahin ghumane le
chalen aap log.
sadiya: teekh hai hum sab kal subah picnic py chalen gy
saleem: ok par abi kahin ice cream khane chalen?
rizwan: han han ( ice cream ka name sun k wo khush ho jata hai.)
sadiya: khala aap b chalen na humare sath..
shabo: nahi beti tum log ho aao wese b itna lamba safer kr k aye hun k
meri kamer mein abi b dard ho raha hai.
saleem: ammi aapse kaha tha k texi kr len par aap bus se aye texi hoti
to raste mein thora aram b kr letin ab aap khala jan se baten kren.
hum aap k aur khala k liye ice cream le aayen gy.

ice cream khane k badh jab bill dene ka time ata hai to sadiya apna
peruse kholne lagti hai lakin saleem usse rokht hua kehta hai.
saleem: oohh medam ye ice cream meri taraf se thi aur phir saleem bill
pay kr k baqi ghar walon k liye b ice cream pack krwa leta hai to sadiya
se puchta hai k khala ko konsa flewer pasnd hai?
sadiya: pista ya vanela
saleem: do pista ice cream pack krwa leta hai aur sab ghar a jate hain
raste mein teeno khoob hansi mazak krte hain.

agle din sunday tha sab ghar wale subah subah 7 baje hi dolphin park
k liye nikal jate hain car sadiya drive krti hai kiun k ik to saleem mehman
tha aur uper se karachi k rasto se anjan b tha wo 8 saal badh jo yahan
lota tha aur in 8 saal mein yahan ka naqsha hi badal chuka tha har jaga
nay nay flat ban gaye thy nayi nayi dukhane khuli thin traffic b pehly se
kafi ziyada ho gaya tha aur sarken (road) b patle ho gain kafi jaga py
nay pull b ban gaye thy
shabo halake bachpan se yahin rahi thi par usse esa lag raha tha jese
wo kisi ajnabi shaher mein hai ye karachi ab uska purana karachi nahi
balke koi naya shaher lag raha that.
dolphin park ponch k ye log sab se pehly zoo ki taraf jate hain wahan
bohat se janwar dekhne ko milte hain rizwan apne dost se wo digital
camera b laya tha jis py usny us din sadiya aur saleem ko pics dikhai
thin sab hi janweron ki pic lete hain aur apas mein ik dusre ki b pics
lete hain phir bari aati hai jhoola jhoolne ki to rizwan har jhoole py behta
hai us k sath saidya aur saleem b khoob jhoole jhoolte hain par
rukhsana aur shabo ik taraf bench py beht k idhar udhar ki baten krne
lagti hain...

shabo: sadiya ab jawan ho rahi hai aapa us k liye koi rishta wishta
aaya k nahi?
rukhsana: abi kahan shabo abi to shezadi ko doctor banna hai.
shabo: acha kia ghar k kaam kaaj nahi krti ye?
rukhsana: are nahi nahi shabo sadiya to ghar k sare kam krti hai magar
wo parhti b khoob dil se hai.
shabo: acha kia usse khana banana aata hai.
rukhsana: han abi seekh rahi. hai jald hi ye kaam b krne lage gi.
shabo: acha hai k uska dil in kamom mein b lagta hai warna aaj kal ki
larkia to bas char kitaben kiya parh leti hain k apne aap ko na jane kia
samjhny lagti hain.
abi ye log baten kr hi rahi thin k sadiya b wahan a jati hai
sadiya: kia baten ho rahi thin?
shabo: kuch nahi main to ye keh rahi thi k ye shaher bohat badal gaya
hai jab hum jawan thin to yahan door door tak jangle hua krte thy aur
ab dekho masha Allah se kitni ronaq ho gai hai....
sadiya: han khala ye karachi shaher ese hi thori roshnio ka shaher
kehlat hai (fakher se itrate hue)
rukhsana: ye saleem aur rizwan kahan reh gaye tere sath hi thy na?
sadiya: han maa wo log chat le rahe thy bas aate hi hongy..
itny mein wo dono b a jate hain
sadiya: lao lao chat bari dair laga d kahan reh gaye thy.
saleem: wo chat wale pass 500 ka khulla nahi tha to wo khulla karwane
chala gaya tha phir jese hi wo aya hum apne paise le k lout aaye
shabo: chat to bohat maze ki hai saleem beta jaa sab k liyr ik ik plat aur
le aa
rukhsana; nahi nahi mere liye na lana mera pait bhar gaya hai.
rizwan: saleem bhai abi hum chat lene gaye thy to mainy dekha wahan
py ik bhoot bangla b tha ab chat kha k hum wahan jaen gy.
shabo: nahi nahi koi bhoot bangla walnga nahi jae ga... beta humare
gaun mein b ik bhootiya haveli hai aur wahan se aaj tak koi lout k nahi
aaya.
saleem: maa rizwan ko drao to nahi.
rukhsana: are shabo ye koi sach much ka bhoot bangla thori hai ye to
sirf bachon k liye banaya jata hai kiun k aaj kal k bache in cheezon ko
dekh k khush hote hain aur ye mera rizwan ye to akser wo darawni
filmen b dekhta hai...
shabo: aapa esa b hota hai (hairat se)
rukhsana: han tu jane de in bachon ko.
rizwan: han khala hum jaen please please
sadiya: please khala meri achi khala jane do na.
shabo: acha teekh hai bhai jao tum log..
ye sunte hi sadiya rizwan aur saleem teeno khushi se taliyan bajane
lagte hain.
saleem: chalen.?
sadiya aur rizwan: han chalo (ik zuban hote hue)
ye log bhoot bangla dekhne chale jate hain aur idher shabo rukhsana
ko apne gaun k bhoot bangle k bare mein batane lagti hai taqreeban
30. se 40 min badh saleem sadiya aur rizwan b wahan a jate hain phir
ye log wahan se nikal k ik chinies hotel mein chale jate hain jahan ye
log dophair ka khana khate hain shabo aur saleem pehli bar chinies
kha rahe thy magar unhen ye sab khana bohat pasand aata hai khane
k badh sadiya bill pay krti hai aur ye log ghar a jate hain...

agle din sham ko rizwan saleem k sath behta t.v dekh raha tha k sadiya b wahan a
jati hai..
sadiya: kiya dekh rahe ho tum log
rizwan: cricket match pak vs eng
sadiya: t20 ya ODI?
saleem: test match
sadiya: how boring.... aur rizwan tu kab se ye test matches dekhne
laga. (remote utate hue)
rizwan: baji main to abi abi aya tha to jo saleem bhai dekh rahe thy
main b dekhne laga.
sadiya channel paltne lagti hai aur ik cooking show laga k dekhne lagti
hai.
saleem: ye kia yar ye b koi dekhne k cheez hai.
sadiya: mujhe acha lagta hai.
saleem utt k ander chala jata hai aur apne bag se apna laptop nikal k
us py kuch kaam krne lagta hai.
sadiya us k kamre mein aati hai.
sadiya: sorry
saleem: sorry..... par kis liye?
sadiya: tum match dekh rahe thy aur mainy a k channel badal diya is
liye tum naraz ho k yahan a gaye na....?
saleem: are nahi main naraz thori hua tha wo to mujhe thora kaam
krna tha to main yahan a gaya wo apni e-mail check kr raha tha k us ki
nazar ik khaas mail py parti hai jese hi wo mail kholta hai khushi se
uski cheek nikal jati hai.
saleem: yahoooooooo...... yahoooooo....
sadiya: kiya hua ?
saleem usse e-mail dikhata hai. to sadiya b bohat khush hoti hai aur
saleem ko mubarakbad dene lagti hai itne mein baqi sab ghar wale b
wahan a jate hain
shabo: kiya hua saleem tum cheenk kiun rahe thy aur ye sadiya kis bat
ki mubarakbad de rahi hai?
sadiya: khala bat hi esi hai......
saleem: maa mujhe ik bohat bari company se job ki offer ayi hai.
(sadiya ki bat kante hue)
shabo: ya Allah tera shuker hai.
rukhsana: mubarak ho beta Allah kre tujhe ye job mil jae aur tu jaldi
taraqi kre.
saleem: shukriya khala bus aap sab ki dua chayie.
rukhsana: humari dua to humesha tere sath hai beta par ye konsi
company hai?
saleem: sony international company.
sadiya: han maa ye wohi company hai jis k technology puri duniya
mein mashoor hai khas kr camera's
rizwan: han wohi jis ka camera mere dost ny mujhe kal diya tha picnic
ki pics lene k liye.
saleem: maa khala ye ik bohat bari company hai jiss k mukhtalif
produce hain bus aap log dua kren k mujhe yahan job mil jae
rukhsana: aur shabo usse dair sari duaen dene lagti hain dusre din wo
interview k liye ghar se subah 6 baje nikal jata hai.
rukhsana aur shabo us ki raha dekhne lagti hain 10 baj jate hain
magar saleem ka koi ata pata nahi hota sadiya b apna university ka
form jamah karane chali jati hai.
saleem dophair k 2 baje ghar lotta hai to shabo puchti hai
shabo: beta kia hua? inti deir kahan tha tu? tujhe job mili k nahi?
(ik hi sans mein teeno sawal kr deti hai)
rukhsana: arey abi to taka hua aaya hai usse sans to le lene do..
(shabo k kandhy py hath rakhty hue)
saleem: mera interview to bohat acha hua par jab un logo ny meri
degree dekhi to mujhe reject kr diya (lag bhag rote hue)
shabo: koi bat nahi beta dil chota mat kro Allah ny chaha to dekhna
isse b achi job mile gi tumko. (tasalli dete hue)

khair isi tarah din guzarte rehte hain magar saleem ko koi dang ki job
nahi milti kiun k uss ny sirf inter tak hi parha hota hai uss k pass na to
koi. bari degree thi na sifarish to usse job milna bohat mushkil tha
idhar sadiya ko university mein admission mil jata hai aur wo dil laga k
aage parhne lagti hai saleem b soch leta hai k wo pehle apni parhai
puri  kre ga phir kisi company mein job k liye apply kre ga tab tak wo
kisi choti moti dukan mein part time job kr le ga ik din usse ghar k
qareeb hi ik net cafe mein sham 5 baje se raat 11 baje ki job mil jati hai
aur din mein saleem private parhane b lagta hai kiun k ik achi job k liye
achi degree ki zaroorat thi aur tamam university's ki admission date ab
nikal chuki thi...

ab 8 saal badh saleem ko dell ki company mein ik achi post pr job mil
jati hai aur wo apni maa shabo k sath ik flat mein rehne lagta hai.
sadiya ab ik doctor ban chuki thi aur usne apne ghar mein hi clanik khol
li thi jisse wo apna kaam b kr sakti thi aur apne bhai rizwan ka khayal b
rakh sapkti thi usne abi tak shadi nahi ki thi bas apne bhai k sath rehti
thi kiun k rizwan ab 18 saal ka ho chuka tha lekin dimag uska ab b 4
saal k bachy jesa hi tha
ruksana is dunia e fanni se 2 saal pehle hi rukhsat ho chuki thi us k
shoher yani sadiya aur rizwan k walid to uss ko aur dono bacho ko
kayi saal pehly hi chor k dusri shadi kr chuke thy to ab ye behan bhai
apne ghar mein akele rehte thy

.................................The End

Friday, October 9, 2015

Sacha Piyar

hassan 1 bohat hi zaheen bacha tha bachpan se hi wo khel khud k sath
parhai mein b kafi hoshiyar tha school mein hamesha ache numbers
lata yehi waja thi k sab hi teachers ka ladla tha wo school se ghar a k
apna ziyada tar waqat apni cousin sidra k sath guzarna pasand krta
tha
sidra b parhai likhai mein us ki tarah zaheen thi wo apne maa baap
ki akloti beti thi is liye un ki ladli b thi sidra ki koi behan nahi thi par do
bhai thy jo dono hi sidra se choty thy bara kaamran chota noman udher
hassan k teen behan bhai aur thy sabse bari behan abeera phir ik bhai
hussain phir behan najeeba air sab se chota hassan
hassan aur sidra bohat achy dost thy un ki koi baat ik dusre se chupi
nahi thi wo dono ziyada se ziada waqat sath guzarte sath kehlte sath
khana khate sath hi ghoomne phirne jate kabi ik dusre se na milte to
dono hi bohat udaas udaas ho jate phir pata nh kab bachpan ki isi dosti
ny piyar ka roop le liya wo dono khud is bat se anjan thy kiun k abi wo
log umer k jis hisse mein thy us mein in sab cheezon ki samjh kahan
hoti hy un k ghar wale b is baat se bekhaber thy k dono k beech dosti k
ilawa b koi rishta qaim ho raha hai wo to bus isse dosti hi samjh rahe
thy aur ye piyar dono k dilon mein palta chala gaya jese jese dono ki
umeren barh rahi thin wese wese piyar b barhta ja raha tha shayad
yehi wajah thi k dono ki dosti b din ba din mazboot se mazboot tar hoti
ja rahi thi
mohabbat hassan k dil mein to thi lekin wo is bat se anjan tha k sidra b
usse piyar krti hai ya nahi ye bat un dino ki hai jab hassan ne matric ka
imtehaan achy number se pass kr liya tha aur us k abbu ny usse ik bike
dilai thi hassan bohat khush tha aur wo apni ye khushi sidra se bantne
ja raha tha aur usne dil hi dil mein aaj pakka irada kr liya tha k aaj kuch
b ho jae wo sidra ko apne dil ki baat zaroor batae ga khair isi chakker
mein wo bike le k nikla bike chalna usny pehle hi apny abbu se seekh
liya tha magar kabi main road py nahi chalai thi new bike le k wo main
road py aaya aur tezi se idher udher bike lehrane laga achanak
samne se ik bara traler a gaya jis k driver ny bohat horan bajaya magar
accident ho gaya bike to track se takrai jis ki wajah se hassan bike se
door ik side py ja gira pr sath sath track disbalance ho gaya jis ki wajah
se us py ladha trank hassan k upper a gira aur hassan kamer se
neechy pura us trank k neechy dab k reh gaya hassan dard k mare
cheenk mar k behosh ho gaya na jane kitni der hassan yunhi behosh
para raha jab hassan ko hosh aaya to wo hospital k bed py tha us
accident ko aaj ik hafta guzar chuka tha yani hassan pure ik hafte
behosh raha hassan ko jab hosh aya yo usne apne samne apni maa
ko behta dekha jo uska hath pakre behti thi aur sidra b sath hi behti thi
hassan ki maa rasheeda us waqat jag rahi thi jab k sidra soi hui thi
hassan hosh ate hi maa ko pukarta hai pr uski awaz saaf nahi nikal pati
kiun k hassan k oxygen mask laga hua tha pr rasheeda uski wo
larkharati hui awaz sun k b khush ho gai zahir hai ik maa thi apne
bache ki awaz sun k khush ho gai
us ki awaz sun k sidra b utt jati hai sidra jaldi se ja kar doctor ko bula
lati hai doctor checkup karne k badh kehte hain k hassan ab bilkul
teekh hai par abi kamzoor hai to us ko aram ki zaroorat hai is liye sab
bahir jaen aur hassan ko aram krne den doctor hassan k samne to
yehi bolte hain par bahir ja k hassan k walden ko batate hain k hassan
ka kamer se neechy ka jisam puri tarah se damige ho gaya hai to ab
hassan zindagi bhar kabi chal phir nahi paega aur na hi wo kabi baap
ban pae ga hassan k walden ye bat sun k bohat paresha hue magar is
ka zikar unhon ny kisi se nahi kia sab ko sirf itna bataya k hassan ab
chal nahi sakta yahan tak k hassan ko bhi nahi bataya k wo kabi baap
nahi ban sakta kiun k abi hassan kunwara tha us ki shadi nahi hui thi to
us k baap banne ki koi zaroorat nahi thi aur ab jab wo chal bhi nahi
sakta tha to us ki shadi honi bhi nahi thi to baap dada banne na banne
ka to sawal hi nahi tha sidra aur us k dono bhai agar chy umer mein
hassan se chote thy par ye charo pakke dost thy sidra ny hassan ki
khoob kheedmat ki jab tak wo hospital se ghar na a gaya sidra roze us
k liye apne haton se khana bana bana k le jati thi kabi soup kabi kichri
kabi salad kiun k sidra bhi abi bachi hi thi to usse koi khas cooking
nahi ati thi khair usne apni taraf se koi kaser na chohri hassan ki dekh
bhal mein us k dono bhai bhi kisi kaam mein peechy na thy koi bhi
kaam ho hassan ko kuch mangwana ho dawa ki zaroorat ho har kaam
krte thy khair jald hi hassan ko hospital se discharge mil gaya aur wo
apne ghar a k rehne laga sidra ab bhi hassan ko akhser dekhny aati
aur jab bhi aati wo hassan se dehr sari baten krti khoob hansi mazak
krti magar hassan ko ab samjh mein nahi a raha tha k wo sidra se
apne piyar ka izhar kre to kese kre isi tarah 7 saal guzar jate hain phir
ik din hassan ko us ki ammi a k batati hain k sidra k liye ik bohat acha
rishta aaya hai larka ik bank mein maniger hai aur dikhne mein bhi kafi
handsome hai sidra k ghar walon ko wo larka bohat pasand aya aur us
k abbu ny to riahte k liye han bhi kr di hai sab bohat khush hain khass
kar sidra ussne larke ki photo dekhi to esy sharmai k jesy larka us k
samne khara ho
hassan ny pucha kia wo larka sidra ko bhi pasand aya hai to rasheeda
be'ikhtiyar hansy lagi
hassan: maa aap hans kiun rahi ho?
rasheeda: beta tumny baat hi esi puchi hai.... ary buddu larki jab kisi
larke ki photo ya surat dekh k sharmae to is ka yehi matlub hota hai k Sacha Piyar
larka usse pasand aya...
hassan phir ghehri soch mein gum ho gaya usne socha k yar agr sidra
ko wo larka pasand hai to wo sidra ko zaroor khush rakhe ga aur main
to chal bhi nahi sakta sara din is wheelchair py behta rehta hun kuch
kamata bhi nahi aur sidra ki baqi ki zarooiyat yani kahin aana jana
ghumna phirna kese puri krun ga nahi nahi main itna khudgarz nahi k
apne piyar k chakker mein sidra ki sari khushion py pani phair dun aur
phir main to ye bhi nahi janta k sidra mujhse piyar krti bhi hai ya nahi
agar krti hoti to kisi aur larke ki photo dekh kar yun sharmati nahi aur
ye sab soch kar hassan ny faisla kar liya k us ka chahye kuch bhi ho
wo sidra se kabi apne piyar ki baat nahi kre ga wo sidra ka hamesha ik
acha dost ban k rahe ga aur sidra ki zindagi mein agar koi masla hua
to wo hamesha us ka sath de ga magar sirf ik ache dost ki tarah aur is
taraha jald hi sidra ki shadi ho gai aur aaj wo apne ghar mein khush hai
jab k wo aur hassan aaj bhi bohat ghery dost hain hassan aaj bhi sirf
sidra se hi piyar krta hai magar ye raaz aaj bhi hassan k seene mein
dafan hai.

THE END

Wednesday, September 23, 2015

Sunsan Jangle

Sunsan Jangle

ye kahani Islamabad k ik larky ki hy jis ka naam Ali tha
Ali apne walden ka ikhlota beta tha Ali ki do behne bhi thin bari ka naam
Shazia choti ka naam Nazia tha
Ali parhai mein hamesha 1st aata tha is k ilawa usse painting ka bogat
shoq tha enter ka imtehan ache numbers se pass krne k badh Ali ny job
krne ka faisla kr liya Ali ko ik esi job ki talash thi jiss k sath sath wo apni
taleem bhi jari rakh sakhe aakhir kuch din ki sakht baag dorh k badh
Ali ki mehnat rang lai aur Ali ko ik esi butikh mein job mil gai jahan usse
shaam 4 raat 9 bje tak kaam krna hota tha to Ali din mein aram se uni ja
k apni parhai kar sakhta tha ab wo subah 9 bje utt kr nashta krta 10 bje
wo uni mein hota tha phir 2 bje tak wahan se farig ho k ghar a jata khana
kha k uni ka kaam krta ya t.v dekhta phir 3:30 pe ghar se nikal jata Ali ka
ghar shaher se thore fasle py tha jahan raste mein ik chota sa magar
ghana jangal parhta tha
Ali 4 bje tak butiq ponch jata tha wahan rang barange kapre bikhti or
banae jate thy Ali ki painting wali maharat ko dekh kr usse fassion
designer ki job mile thi wo din mein pachason suite design krta jinnen
dusre din sii k market mein farookht kiya jata aur agar koi order dena
chahta to wo bhi Ali se design banwata
3 se 4 din mein hi Ali k wahan bohat se dost bhi ban gaye ab wo khoob
mehnat se kaam krta tha aur apne dosto k sath khoob hansi mazzaq
bhi krta tha magr din bhar ki is mehat k doran usse itna waqat bhi nahi
milta tha k wo do rakat namaz parh le han jumme jumme ko masjid ja k
namaz parha krta tha ya phir eid baqreed hi ye farz ada hota tha
us ki ammi is bat py usse sakht naraz bhi hoti thin magar wo kisi ki parwah
nahi krta tha na hi koi taaweez ya esa locket pehanta tha jis py Allah ya
Mohammad likha ho na imzamin bandta tha
usse in cheezon py jese yaqeen hi nahi tha namaz bhi bas farz samjh k
ada krta tha
han us ki bike ki key chain mein Ali likha hua tha jo us ne sirf show k liye
dali thi k key chain mein mera naam likha hy
ye uss din ki baat hy jab Ali ko uski pehli selary milny wali thi wo aaj kafi
khush tha selary milte hi Ali ny apni maa k liy ik garam shawl li baap k liye
nayi chapl li behnon k liye khoobsurat si churiyan lin aur ik aadha khilo
mitai ka dabba liya ye sab khareedny mein usse kafi time ho gaya 10 bajh
gaye to ghar se phone aya k kahan ho to Ali ny in sab cheezon k bare
mein kuch nahi bataya bas itna bataya k wo trafic jam mein phansa hua
hy jese hi rasta khule ga seedha ghar a jay ga
phone band kr k Ali ghar k liye nikalta hy to kuch door raste mein bike ka
petrol khatam ho jata hy Ali bike se uter kr bike chalta hua qareebi petrol
pump py le jata hy to wahan kafi lambi line lagi hoti hy
Allah Allah kr k is ka number ata hy to petrol bhawart bharwate 10:40 bajh
jata hy phir Ali wahan se nikalta hy to highway k qareeb trafic jam milta hy
wajah puchne py pata chalta hy k agge ki track ka accidant ho gaya hy to
track gira para hy rod khulte khlte 11:35 ho jate hyn rod kulne k bad bhi
Ali ko nikalne mein takreeban 10 se 15 minut lagte hyn
raste mein ik ghana jangal parhta tha wahan pr Ali ko ik nojawan larki
nazar aati hy larki ny safeed ghairdar fraq pehni hui thi us ka chera balon
se puri tarah dankha hua tha is liye teekh se nazar nahi a raha tha k kon
hy
Ali ny dekha k itni raat ko itne sannate mein ik akeli  larki ik darkht k sath
take lagaye behti ro rahi hy to insaayat k khatir usse phuch liye k tum
kon ho aur itni raat ko yahan sunsan jangale mein kiya kr rahi ho?
uss larki ny Ali ki baat ka koi jawab na diya aur utt k jangal k andher jane
lagi....
to Ali ny dobara pucha k kahan ja rahi ho tum ho kon?
wo is bar bhi kuch nahi boli par rukh zaroor gayi
Ali bike se utra key chain apni jab mein dali aur baqi saman bike py chor
k uss larki k paas jane laga abi wo do qadam hi chala hoga k usse kisi
ghari k tez horan ki awaz sunai d Ali ny murh kr dekha to wo koi track tha
jo apne raste chala gaya ali dubara larki ki taraf mura to dang reh gaya
ab wahan koi nahi tha magar us k rone ki halki halki awaz ab bhi Ali ko
a rahi Ali awaz k taqub mein jangal k ander chala gaya par Ali ko door
door tak koi dikhai nahi diya achanak wo awaz bhi ana band ho gayi to
Ali wapisi k liye mura par abhi mura hi tha k agle hi pal uchal parah kiun
k ab wo larki Ali k bilkul samne khari thi us ka chehra abi bhi us k balon
se danka hua tha
Ali ny pucha kon ho tum aur is waqat jangle mein akeli kiya kr rahi ho?
wo boli ye mera ghar hai tum mere mehman ho
Ali mehman...... par main to tumhen janta tak nahi tum ho kon?
wo jan jao gy sab kuch jan jao gy jaldi kiya hy
Ali mujhe nahi banna kisi ka mehman wehman main ghar ja raha hun    
wo jo ik bar yahan a jata hy wo wapis nahi ja sakta
Ali par main jaon ga dekhta hun mujhe kon rokhta hai ye keh k Ali 1 tarf
chal parah lekin abi usny mushkil se do qadam hi barae hongy k kisi ny
uska hath pakar liya aur wo bokhla sa gaya kiun k us ko esa laga jese
uska hath kisi insan ny nahi kisi janwer ny pakra hai jis k nakhoon Ali k
hath mein buri tara garh se gaye thy
Ali ghabra k peechy mur k dekhta hai to agle hi pal uchal parta hai kiun
k ab us larki k baal hawa mein urr rahe thy to us ka chehra saaf nazar
a raha tha jo bohat hi khofnaak dikh raha tha us ka chehra itni buri
tarah se jala hua tha k lag raha tha kisi bhatti mein dal k nikala ho us ki
aakhon mein se jese anghare phoot rahe thy aur us k. hont mano
ghosht k do lothre latak rahe thy uske hath itne kaale thy jese koi tawa
hota hai aur un py itne ghanwe baal jese kisi bander k baal hon us k
nakhoon kisi khofnaak darindy k nakhoon jitne lambe thy jo is waqat Ali
ki hath mein kisi keel ki tarah chub rahe thy
wo boli kahan ja rahe ho larke aaj tak koi yahan se zinda wapis nahi
gaya hahaha hahaha
Ali ki to khof k mare jese awaz hi gum ho gai thi pr wo kuch himmat kr k
bola dekho mujhe jane do mainy tumhara kia bigara hai?
wo hahahaha kr k hansi aur boli tu mera Bigar bhi kia sakta hai... par
mainy do hafton se kuch nahi khaya mujhe bohat bhook lagi hai aur
main isi liye ro rahi thi k ab mujhse mazeed bhook bardasht nahi ho
rahi thi par ab tum a gaye ho na aaj raat khoob pait bhar kr khana
khaon gi hahaha hahaha
par tum fikar na kro tum ko ziyada dard nahi dungi wada bus thora sa
dard hoga jab tum ko kholte huwe pani mein ubalun gi.
Ali ny jo ye suna k us ko ubalne wali hai to us ki rahi sahi himmat b
jawab de gayi.
dian ny Ali ko ik taraf dekh diya jisse Ali door ik kanton ki jarhi py gira
Ali buri tarah chilla raha tha wo kafi zakhmi ho gaya tha us k jisam se
bohat si jagah se khoon b beh raha tha ab Ali utt b nh pa raha tha usse
esa lag raha tha jese us k jisam se jaan hi nikal gayi ho dian dhire
dhire aage i aur phir usne Ali ko balon se pakar k uper uthaya to Ali ki
cheenk nikal gayi kiun k esa krne se us dian k nakhoon Ali ki khopri
mein buri tarah chub gaye thy Ali ny apne aap ko chorane ki bohat
koshish ki mgr dian ki pakar bohat mazboot thi achanak Ali ny socha k
kiun na bike ki chabi ki nok us k hath mein chubo k nikalne ki koshish ki
jae ye khayal aate hi Ali ny apni jab mein hath dala jahan uski keychain
rakhi thi Ali ny jhat se keychain nikali aur chabi ki nok dian k hath py
mari jis se wo dian ik khofnaak cheek mar k door ja giri magar ye dekh
k Ali heran reh gaya k chabi to Ali k hath mein thi phir usse kiya chuba?
dar asal us dian ko jo cheez lagi thi jisse wo door giri wo chuabi ki nok
nahi balky keychain mein laga Ali name ka locket tha jo usne bator
show apni bike ki keychain mein dala hua tha aaj wo locket behat
chamak raha tha aur us mein se safaid roshni si phoot rahi thi jo
seedha us dian py parh rahi thi aur us dian ki cheekhen nikal kr pure
jangle mein gunjh rahi thin aaaaaaaahhhhhh aaaaahhhhhhh hatao isse
meri jaan nikal rahi hai Ali ki samjh mein sab kuch a gaya tha k wo
roshni wo chamak dar asal rohani chamak hai jo us rohani naam Ali a.s
se nikal rahi hai jo us locket py bana hua tha aur ye pagil us pak nam ko
bator apne naam k keychain mein dale ghoom raha tha aaj Ali ko ab
samjh a gaya tha k usne apni maa ki baat na maan k khud apni hi jaan
ko khatre mein dal rakha tha wo dian dekhte hi dekhte duwan ban k urr
gai us k gayab hote hi Ali ny apni bike ki taraf dor laga di aur bike start
kr k seedha apne ghar ki taraf chal para tamam gift to pehly hi bike py
rakhe thy is liye sab salamat thy
Ali jese hi ghar poncha to us ki maa usse is tarah khoon mein latpat
dekh k ghabra gayi aur baqi ghar wale b pareshan ho gaye us k abbu
ny foran dawa lagai kiun k Ali k abbu 1 medical store chalate thy to un
k pass bohat si dawaiyan hoti thin phir Ali ny ghar walon ko ye bataya k
wo raste mein bike se gir gaya tha dian wali bat nahi batai aur sab
ghar Walon ko un k liye laye hue tohfay diye jo itne mehngy to na thy
par Ali ki pehli kamai se laye hue thy uss din k badh Ali mein kafi
badlao aya ab wo rozana 5 waqat ki namaz b pabandi se parhne laga
tha aur 1 chota sa taaweez bhi apne gale mein pehne laga jis mein
Charon qul naqsh thy

The EndSunsan Jangle

Tuesday, July 14, 2015

Khushiyan

naizi apne walden ki akolti beti thi uske 3 bhai aur bhi thay lekin koi
behan nahin thi yehi wajah thi k wo sab ki ladli thi wo 5th class mein
parhti thi uska asal nam nazneen tha magar ghar wle usse piyar
se nazi keh kar bulate thay ye baat un dino ki hai jab har taraf eid
ki tayyariyan zor shor se chal rahi thin nazi ny bhi apni lag bhag
sari tayyari kar li thi 2 faraken usny apni pasand se lin thin aur
sab bhai bhi us kay liye eid kay nae kapre lae thay aur baqi ka
saman bhi usny abu kay sath ja kar liya tha jese clips chooriyan
makeup ka saman aur har sute k sath kay purse aur jute abhi eid
mein 4 din baqi thay kay aik din nazi apni chath py khari thi kay
uski nazar chokidaron ki jhonpriyon py pari jo uske ghar kay samne
wale road kay us par thin wo kisi gehri soch mein ghum un bachon
ko dekh rahi thi jo un jhonpriyon mein rehte thy kay achanak
uskay kandhe par kisi ny haath rakha jo uski ami thin

ami: kiya hua beta aap kiya soch rahi ho?
nazi: ami wo deken un bachon ny kese phate hue kapre pehne
hain aur lagta hai jese wo kafi dino se nahaye bhi nahin hain...
ami: beta wo ghareeb bache hain wo log esy hi rehte hain.
nazi: ami... wo log esy kiyun rehte hain?
ami: beta un kay pas nae kapre khareedne kay paisy nahin hote
nazi: to kiya ami wo log eid par bhi esy hi rehte hain?
ami: han beta....
nazi: ami.. mere pichly eid k purane kapre kahan hain?
ami: kiyun beta aap un ka kiya kro gi aap k papa or bhai aap k
liye kitne achy achy nae kapre lae hain.
nazi: han ami wo log sach mein har saal ki tarah is saal bhi
boht achy kapre lae hain.... par main soch rahi thi kiyun na apne
purane kapre eid py un bachon ko de dun to wo bhi boht khush
ho jaengy na....

ammi ny jo nazi ki ye baat suni to jaldi se nazi ko gale laga liya
aur us ki aankhon se khushi k aansu nikal aye
nazi ny jo dekha k ammi ro rahi hain to wo dar gai k shayd usny
kuch galat keh diya
nazi: kiya hua ami? aap ro kiyun rahi hain? mainy kuch galat kaha
kiya?
ami: nahi meri bachi main ro nahi rahi ye to kushi k aansoo hain
k tum ny kitni bari aur piyari bat kahi hai wo bhi itni si umer mein
shaam ko jab nazi k abbu aur bhai wagaira ghar aaye to nazi ki
ammi ny sab ko nazi ki bat batai sab bohat khush hue aur nazi
ko khoob piyar kiya abbu ny bhi shabashi di k itni choti umer
mein nazi ny itni bari bat sochi aur issi khushi mein abbu ny raat
ko sab ghar walo ko ice cream khilai 5 din badh eid thi eid ki
namaz bad sab ny na sirf apne purane kapre balke kuch khilone
aur boht si mitthaiyan bhi jhonpri mein reny wale bachon mein
batin jis se wo log bohat khush hue aur nazi aur us k ghar walon
ko bhi bohat khushi hui

The End
      khushiyan

Thursday, July 2, 2015

Superman vs Vampires

bohat arse pehly ki bat hy new york city k pas ik chote se gaon k 1 jangle
mein chand vampire raha krte thy jo dkhny mein to bilkul aam insan lagte
thy mgr asal mein wo kafi khatarnak thy wo roz roz gaon k logon ka khoon
pite or isi tarah zinda rehty isi wajah se chan hi maheeno mein gaon puri
tarah khali ho gaya kyun k ziada tar log vampire k haton mare gaye or jo
bachh gaye wo jan bacha k gaon se kahin door chale gaye ab vampires
apni piyas bujhane k liye aas pas k jagli janwaron ka shikar krne par
majhboor ho gaye mgr kuch hi din badh wo khud ko pehle se kamzor
mehsoos krne lage to insani khoon ki talash mein new york city aa gaye
aur ate hi khoof o hiras pehla diya jo sheher raat bhar jagmgaya krta tha
ab raat ko 8 baje k badh waha esa sanata chah jata jesy ye kabhi abbad hi
na tha

rabreat is waqt apne room mein behta coffe pi raha tha us k office mein
coloring ka kaam chal raha tha to rabreat ko 20 din ki chutti thi wo soch
raha tha k ye 20 din kese guzare tab hi us ka cell phone baja
rabreat: hello rabreat spicking
dusri taraf se awaz ai liza spicking
rabreat: yes
liza: good morning kia kr rahe ho?
rabreat: nothing bus soch raha tha hollydays kahan guzaro
liza: acha wese agr aap chahen to mere sath chal sakte hain wahan mere
mummy papa rehte hain
rabreat: hmmm cool  
liza: to aaj sham ko 6:30 py main aap ko pick krne aaon gi phir sath chalen
gy by road meri car mein
rabreat: ok bye
liza: bye
sham ko liza aur rabreat teekh time 6:30py ghar se nikal gaye miss liza
rabreat k office mein kaam krti thi aur rabreat ki senior reporter thi magar
office se bahir ye ache dost thy liza apne parents ko suprise dena chahti
thi is liye us ny unhen apne aane ki khaber nahi ki thi

ye log new york city ponchy to us waqat qareeb 10:30 baje thy magr yahan
esa sanata tha jese raat k 3 bje hon
Liza: itna sanata kiyn hy sab log kahan gaye?
Rabreat: yaehi to mei soch raha hun last time jab main yahan aaya tha tab
to yahan raat 1 se 2 baje tak kafi ronak lagi rehti thi.... to aaj kia hua
liza ab bhi car chala rahi thi wo apne ghar jald se jald ponchna chahti thi
k achanak 1 shaks car k samne a gaya liza ny breaks lagai jo teekh waqt py
lag gay or car us shaks se 1 inch k fasle py ruki
liza: ohh sorry aap ko lagi to nahin mr?
shakhs: nahi pr kia aap log mujhe lift de sakte hain?
liza: yeah sure
shakhs: thanks
wo shakhs liza ki car mei beht gaya or us ny khud hi apna name reo bataya
to rabreat or liza ny b apna apna name bataya reo isi shaher ka rehne wala tha
us ny pucha
reo: kia aap dono yahan new hain?
liza: nahin actuly main bhi isi shaher ki hoon bas job k silsile mein washinton
gai hui thi aaj 6 sal badh loti hoon
rabreat kafi der se chup tha usse musalsal katre ki buw a rahi thi pr usko
khatra kahin dikh nahi raha tha
reo: mr rabreat aap kahan k rehaishi hain?
rabreat: main washinton se hi hoon par yahan 2 bar a chuka hoon kaam se
is bar yahan sher k irade se aya hoon wese main reporter hoon dailytimes
news ka
reo: hmmm wese ye shaher ab ghumne phirne laiq nahi raha oat ka shaher
ban chuka hai ho sakta hai ye raat aap ki zindagi ki akhri raat ho
reo ka lehja kafi maine khaiz tha jisse kiza or rabreat dono ny note kia
rabreat: kiya matlub aakhri raat?
reo: kuch b ho sakta hai (reo k face py 1 ajeeb si muskurahat thi)
liza ny achanak car roki or boli
liza: mr reo humara ghar to a gaya & don't mind hum kafi thake hue hain
to aap age ka safar khud kr len
shayad liza ko uski baton se thora dar lag raha tha
sab car se bahir nikle liza apne ghar ka gat knok krne lagi dor bell bhi bajai
pr kafi der tak darwaza na khula to liza mazeed parshan ho gai k kahin reo
sach to nahi keh raha  

liza ny palat dekha to reo ab wahan nahi tha usny charon taraf dekha magar
reo to door door tak kahin nahi dikhai de raha tha
rabreat: kiya hua ?
liza: wo... wo... reo kahan gaya?
rabreat ny jab dekha reo kahin nahi hai to wo chonk utha k koi aam admi
esy achanak kesy gayab ho sakta par usny liza ka dehan batane k liye bola
rabreat: choro usse tum ghar ka darwaza khulwao main kafi thak gaya hun
liza: koshish to kar rahi hun par pata nahi koi darwaza kiyun nahi khol raha
rabreat: shayd sab so gaye hon?
liza: itni jaldi..... abi waqat hi kia hua hai only 10:40pm
rabreat: tumare ghar k ander jane ka koi or rata hai?
liza: nahi yehi ik gate hai... magar han agar kisi tarah main chat pay charh
jaon to chat se neechy ja k ander se khol sakti hun
uss ghar ki deewaren 10 feet unchi thi or rabreat kiyun k 7 feet ka insan
tha or liza  6.5 feet ki thi jiss ki bais ye log alag alag to chat tak nahi char
pate lekin jab liza rabreat k uper char jati to in ki hight 13.5 feet ho jani thi
to yehi tareeqa apnaya gaya liza rabreat k kandhon pay char k uper chari
or deewar palag k chat pay chali gayi magar ye kia chat ka gate bhi ander
se band tha jo kafi der lagatar khatkhatne k badh uski mummy ny khola
lekin ye kia us k papa k hat mein gun thi khair ye log liza ka haat pakar
kar foran neechy aaye to liza ny bataya k uska 1 dost bhi aya hy jo bahir
khara hai to gate khola or rabreat bhi ander dakhil ho gaya

phir baton ka silsila shuru hua maa baap apni akhloti beti se 6 saal bad mile
thy magr wo khush nahi balky kuch pareshan se nazar a rahe thy baton
baton mein liza ny reo ki bat cheri or apne perents ko sab kuch bata diya
jisse sun k wo or b pareshan ho gaye or ab to wo kuch khofzada bhi lag
rahe thy jisse rabreat ny note kr liya liza ki mummy jenipar ny liza ko gale
laga liya or rote rote boli beti tum yahan kiyu aa gain subah hote hi tum
apne dost ko le ker wapis loat jao
liza: kiyun mummy esa kiyun bol rahi hyn aap?
jeniper: wo.... wo...
rabreat: han anty hum log itni der se bahir khare thy par aap logo ny door
kiyun nahi khola?
jhon: beta ye 1 bohat lambi kahani hai
rabreat: par uncale hum jaanna chahte hyn k hum abi abi aaye hyn to anty
humhen wapis kiyun behj rahi hyn or aap log itna dare hue kiyun hyn kis
ka dar hai aap ko?
liza: han papa batae to akhir bat kiya hai?
jhon ny 1 tandi aaahh bhari or new york city main vampires k aany se aaj tk
ki sari kahani unhen suna di k kesy vampires ny yahan moat ka raaj qaim
kiya hua hai or chand hi dino mein hazaro logo ko maar chuke hyn

liza or rabreat ny is tarah dar kr wapis jane se inkar kr diya or liza ny to wada
bhi kr liya k wo shaher walon ko jald hi in vapire k der se nijat dilaye gi
jeniper: pr beta tum kro gi kia? wo bohat takatwar or khaternaak hain tum
un ka mukabla kese kro gi?
liza: oh come on mummy main un ka muqabla nahi krun gi balky unki info
apni dost k zariye super-man tak ponchaon gi or ik bar agar super-man
yahan aa gaya to dekhna wo sab kuch teekh kr de ga
jhon: kiya tum super-man ko janti ho?
liza: nahi janti to nahi hun par i m sure wo tv to zaroor dekhta hoga agar 1
bar ye vampire wali news tv py chal gai to wo foran yahan a jae ga.. aakhir
wo mazlumo ka dost hai
rabreat (jo apni tareef sun k khush ho raha tha) magar tum usse bulao gi kese
kiyun k dailytimes news to fil hal band hai?
liza: tum ko miss rosi yaad hai ye news ab wo lagay gi today news mein
rabreat: hmm chalo teekh hai abi to bohat raat ho gai hai or i think miss rosi
so gai hogi tum subah hi usse call kr k sab bata dena mujhe bhi ab neend
a rahi hai koi batega mujhe sona kahan py hai?
jhon: aao aao yung man tum mere room mein so jao wo save hai
rabreat us k sath chala jata hai jab k liza rabreat ko ghorti rehti hai thori der badh
baqi sab bhi so jate hyn

next day liza rosi ko call kr k sab kuch bata deti hy or today news py ye news
lag jati hy jiss mei saaf saaf super-man se help ki ja rahi thi k wo jahan
kahin b ho jald az jald new york city ponchy jab k super-man to wahin tha
rabreat din bhar new york city k bazaron mein ghoomta raha or halat ka
andaza lagane ki koshish krta raha raat 8 bje qareeb achanak bazaar band
hone lage or sab log apne apne gharon ko jane lage to rabreat o liza bhi liza
k ghar a gaye rabreat ghar ate hi sony ka bahana bana k apne room mein
chala gaya rabreat ny ander jate hi room ander se lock kiya bed py takiye
rakh k chader urha di jese lage k koi so raha ho or khud super-man k roop
mein khirki se nikal k city ki sab se unchi bilding py ponch gaya jahan se
use pura shaher saaf dikh raha tha sab taraf sukoon tha k achanak
super-men ko kisi larki ki chiknen sunai din wo awaz ka peecha krte hue
bijli ki raftar se wahan poncha to dekha 1 larki 1 chote se bache ko godh
mein liye khari hai or us k samne 1 nihayat gata kata 1 larka khara hai larke
ki aanhon se laal roshni phot rahi thi or aage k do dant bhi nikle hue thy

super-man: kon ho tum or is larki ko kiyun dara rahe ho?
larka: mere raste se hat jao ye mera shikar hai
super-man: shikar...? kesa shikar?
larka: main 1 vampire hun or ye mera shikar hai kiyun k issko pehle main
ny dekha hai to iska khoon sirf main pion ga tum jao koi or shikar dhondo
super-man: main koi janwar nahi hun jo shikar dundta phiro main
super-man hun insano ka dost o madadgar or mere hote hue tum is masoom
larki ko chuh bhi nahi sakte
vampire: to teek hai pehle tumhenhi moat k ghat uatar deta hun isse badh
mein dekh lun ga
yeh keh k vampire ny super-man py hamla kr diya magar super-man bhi
tayyar tha usny na sirf khud ko bachaya balkay vampire ki gardan bhi
pakar li aur larki se bola
super-man: tum ghar jao isse mein sambhalta hun
wo larki apne bhai ko liye seedhi apne ghar mein ja gussi to super-man ny
vampier ko 1 jhatkay se door phaink diya vampire ny phir se apni puri raftar
o taqat k sath super-man py humla krna chaha magar is bar bhi super-man
ny usse dhool chata di vampire ny jab ye dekha k wo akela super-man ka
muqabla nahi kr pa raha to usny 1 khofnak cheenk mar k apne sathiyon ko
bulaya dekhte hi dekhte wahan 30 se 35 vampires jamah ho gaye un mei se
1 py super-man ki nazar jamh kar reh gai kiyun k wo reo tha
reo: kiya hua jeck kiyun chilla rahe ho?
jeck: boss ye dekhen is admi mein mujhse ziyada taqat hai main is ka
muqabla nahi kar pa raha tha to aap ko bulaya
reo: hahahaha ye kesa mazak hai bhala kisi admi mein itni aqat kese ho
sakti hai k wo hum vampires ka samna bhi kar sake?
super-man: kiyun k main koi aam admi nahi tum sab ki mout hun mera nam
super-man hai
reo: abhi pata chal jae ga k kon kis ki mout hai
ye keh kar reo nami vampire ny super-man py bijli ki raftar se humla kiya
magar super-man ny isse bhi gareban se pakar kr door uchal diya aur
khud tufani raftar se uski taraf gaya aur usse gardan se pakar kar utate
huye bola
super-man: bohat ho gaya tum logon ny bohat tang kar liya yahan k
masoom shaheriyon ko ab aur nahi
reo bhi 1 taqat war vampire tha usny apni gardan churwate hue 1 zordaar
ghusa super-man k seeny py mara jisse super-man 10 feet door ho gaya
magar gira nahi reo ny tamam vampires ko hukum diya k super-man ko
gher k charon taraf se humla kren hukum milte hi sab ny super-man k gird
nihayat tezi se 1 gol daira bana liya aur tezi se gol gol ghumny lagy
reo: dekh kiya rahe ho super-man ko khatam kar do
sare vampires aage barne lage aur jese hi vampires super-man k qareeb
ponchy super-man kisi tez raftar rocket ki tarah hawa mein urh gaya
jeck: ye kiya boss ye to urhna bhi janta hai ab kia kren hum to nahi urh
sakte
reo: hmmm is ka bhi hal mere pas
reo ny 1 bara sa track utta kr hawa mein super-man ki taraf uchal diya lekin
ider bhi super-man mad e muqabil tha super-man ny track ko ba asani
kanch kiya aur vampires k uper gira diya vampires ny bhi track ko apne
uper girny se roka aur 1 taraf uchal diya isi tarah kafi dair tak ye dono 1
dusre py cheezen phainkte rahe kabhi track kabhi car to kabhi bare bare
phater jin ko aam admi hila bhi na pae magar koi faida nahi
phir super-man ny socha k ye aesy nahi marne wale to super-man ny apni
aankhon se tez laizer mari jisse vampires ki cheeken nikal gain 10 minnut
tak laizer marny k bad super-man ny neechy dekha to muskura uta kiyun k
sab vampires zakhmi ho chuke the kisi ka hath jala hua tha to kisi ka
chehra lekin agle hi lamhe super-man ki hansi gayab ho gai kiyun k vampires
k sab zakham 1 hi pal mein esy gayab ho gaye mano unko kabhi koi zakham
laga hi na ho
reo: hahahaha tum kitni bhi koshish kr lo super-man humara kuch nahi bigar
pao gy tumhari behteri isi mein hai k chup chap jahan se aaye ho loat jao
super-man: tum meri fikar na kro apni socho tum ny abhi meri puri taqat dekhi
kahan hai
yeh keh kar super-man ny apni belt par lage bare hire ko dabaya to us mein
se tez pily rang ki dhoop jesi roshni nikli jo tezi se phelti hui vampires
par pari bas phir kiya tha dhoop k lagte hi vampires k jisam jalne lage aur
charon taraf vampires ki khofnak cheekon ki awazen sunai dene lagin aur
wo dhuwan ban kar urh gaye jab sare vampires khatam ho gaye to
super-man ny apne hire ko chora aur 1 khat likhny laga

khat miss liza k nam tha us mein likha tha k ab new yorck city mein koi
khatra nahi hai main ny tamam vampires ko mar diya hai
regard super-man

ye khat liza ko mila to mr rabreat apny room se bags le k nikal rahe thy
wo bole chalo miss liza abi din hai humhen jald se jald yahan se nikal jana
chahiye super-man to pata nahi kab aaye
liza: super-man a k apna kam kr k chala bhi gaya ye dekho super-man ka khat
liza ny wo khat rabreat ko dete hue kaha aur phir apny mummy papa ko bhi
dikhaya phir jhon ny apni shop py us khat ki copys bana kar pure city mein
bant di aur is tarah super-man ki madad se new yorck city pehly ki tarah
roshan o azad ho gaya

                                          The End

Superman vs VampiresSuperman vs Vampires